1. kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah
wo aashna bhi mila humse ajnabi ki tarah
kise khabar thi baDhegi kuch aur tareeqi
chupega wo kisi badli meiN chandni ki tarah
baDha ke pyaas meri usne haath choD diya
wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah
sitam to ye hai ke wo bhi na ban saka apna
qabool humne kiye jiske gam khushi ki tarah
kabhi na socha tha humne 'qateel' uske liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
2. wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tuJhko bhool ke zinda rahooN khuda na kare
rahega saath tera pyaar zindagi bankar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare
suna hai usko mohabbat duayeN deti hai
jo dil pe choT to khaaye magar gila na kare
ye theek hai nahin marta koi judaee meiN
khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
3. tujhko darya dili ki kasam saaqiya,
mustakil daur par daur chalta raha
raunak-e-maikada yooN hi baDhti rahe
ek girta rahe ik sambhalta rahe
shirf sabnam hi shaan-e-gulistaa nahin
shola-o-gul ka bhi daur chalta rahe
ashq bhi chasm-e-purnam se behte rahe
aur dil se dhooaN bhi nikalta rahe
tere kabze meiN hai ye mizaami jahaaN
tu jo chaahe to sehra bane gulsitaaN
har nazar par teri phool khilte rahe
har ishaare pe mausam badalta rahe
tere chehre pe ye zulf bikhri huyee
neeNd ki godh meiN subah nikhri huyee
aur is par sitam ye adaayeN teri
dil hai aakhir kahan tak sambhalta rahe
is meiN khoon-e-tamanna ki taaseer hai
ye wafa-e-mohabbat ki tasveer hai
aisi tasveer badle ye mumkeen nahin
rang chaahe zamaana badalta rahe
4. muJhse milne ke wo karta tha bahaane kitne
ab guzaarega mere saath zamaane kitne
maiN gira tha to bahot log ruke the leKin
sochta hooN muJhe aaye the uThaane kitne
jis tarah maine tuJhe apna bana rakha hai
sochte honge yahi baat na jaane kitne
tum naya zakhm lagaO tumhe isse kya hai
bharne waale hai abhi zakhm puraane kitne
5. uski baateN bahaar ki baateN
waadiye na lazaar ki baateN
gul-o-shabnam ka jiKr kar na abhi
muJhko karni hai yaar ki baateN
sheikh maikada hai qaaba nahiN
yaaN to hogi khumaar ki baateN
ishq ka kaarwaaN chala bhi nahiN
aur abhi se gubaar ki baateN
ye kafas aur tera khayaal-e-hasiN
us pe harsooN bahaar ki baateN
6. hum to haiN pardesh meiN desh meiN nikla hoga chaaNd
apni raat ki chhat par kitna tanha hoga chaaNd ho..
jin aankhoN meiN kaajal bankar tairi kaali raat
un aankhoN meiN aaNsoo ka ik katra hoga chaaNd
raat ne aisa pech lagaya TooTi haath se Dor
aaNgan waale neem meiN jaakar aTka hoga chaaNd
chaaNd bina har din yooN beeta jaise yug beethe
mere bina kis haal meiN hoga kaisa hoga chaaNd
7. zakhm jo aapki inaayat hai is nishaani ko kyaa naam de hum
pyaar deewar ban ke reh gaya hai, is kahaani ko kya naam de hum
aap ilzaam dhar gaye hum par, ek ehsaan kar gaye hum par
aapki ye bhi meharbaani hai, meharbaani ko naam kya de hum
aap ko yuN hi zindagi samjha, dhoop ko humne chaaNdni samJha
bhool hi bhool jiski aadat hai, ik jawaani ko naam kya de hum
raat sapna bahaar ka dekha, din hua to gubaar sa dekha
bewafa waqt bezubaaN nikla, bezubaani ko naam kya de hum
8. chale bhi aao wo hai kabR-e-faani dekhte jaaO
tum apne marne waale ki nishaani dekhte jaaO
abhi kya hai kisi ki hoo rulaayegi ye khaamoshi
zubaan-e-haal ki zaado bayaani dekhte jaaO
guroor-e-husN ka sadka koi jaata hai duniya se
kisi ki khaak meiN milti jawaani dekhte jaaO
sune jaate na the tumse mere din-raat ke shikwe
kafan sar ka meri mezbaani dekhte jaaO
9. humsafar hota koi to baanT lete dooriyaaN
raah chalte log kya samJhe meri majbooriyaaN
muskuraate khwaab chunti gun-gunaati ye nazar
kis tarah samJhe meri kismat ki na-manzooriyaaN
haadisoN ki bheeD hai chalta hua ye kaarwaaN
zindagi ka naam hai laachaariyaaN majbooriyaaN
fir kisi ne aaj cheDa zikr-e-manzil is tarah
dil ke daaman se lipatne aa gayi haiN dooriyaaN
10. aaj tum se bichhad raha hooN maiN
aaj kehta hooN fir miloonga tumhe
tum mera intezaar karti raho
aaj ka aitbaar karti raho
log kehte hain waqt chalta hain
aur insaan bhi badalta hai
kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat
aur badle na koi aaj ke baad
waqt badle ye dil na badlega
tum se rishta kabhi na tootega
tum hi khooshboo ho meri saanso ki
tum hi manzil ho mere sapno ki
log boonte haiN pyaar ke sapne
aur sapne bikhar bhi jaate haiN
ek ehsaas hi to hai ye wafa
aur ehsaas mar bhi jaate haiN
11. nama gaya koi na koi naamabar gaya
teri khabar na aai zamaana guzar gaya
hansta hooN yooN ke hiJr ki raateN guzar gayiN
rota hooN yooN ke lutf-e-duaayeN saher gaya
ab muJko hai qaraar to sab ko qaraar hai
dil kya dhahar gaya ke zamaana thahar gaya
ya rab nahiN maiN waapise rudaad-e-zindagi
itna hi yaad hai ke jiya aur mar gaya
12. gham muJhe hasrat muJhe wehsat muJhe sauda muJhe
ek dil dekar kuhda ne de diya kya kya muJhe
ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kiska adab
apne paaye naaz par karne bhi do sazda muJhe
dekhte hi dekte duniya se maiN uTh jaaoonga
dekhti ki dekhti reh jaayegi duniya muJhe
13. dil ke ujle kaagaz par hum kaisa geet likheN
bolo tumko gair likheN ya apna meeth likheN
neele ambar ki angnai meiN taaroN ke phool
mere pyaase hotoN par hai angaaroN ke phool
in phooloN ko aakhir apni haar ya jeet likheN
koi puraana sapna de do aur kuch meethe bol
lekar hum nikle haiN apni aakhon ke kash khol
hum banjaare preet ke maare kya sangeet likheN
shaam khaDi hai ek chameli ke pyaale meiN shabnam
jamuna ji ke oongli pakDe khel raha hai madhuban
aise meiN ganga jal se radha ki preet likehN
14. na ho gar aashna nahin hota
buth kisi ka khuda nahin hota
tum bhi oos waqt yaad aate ho
jab koi aasraa nahiN hota
dil meiN kitna sukooN hota hai
jab koi muddawa nahiN hota
ho na jab tak shikar-e-naakami
aadmi kaam ka nahiN hota
zindagi thi shabaab tak 'seemab'
ab koi saaneha nahiN hota
15. Shab-e-gham ae mere allah basar bhi hogi
raat hi raat rahegi ke saher bhi hogi
maiN ye sunta hooN ke wo duniya ki khabar rakhte haiN
jo ye sach hai to unhe meri khabar bhi hogi
chaiN milne se hai unke na juda rehne se
aakhir ae ishq kisi tarha basar bhi hogi
Thursday, 8 September 2011
Your Choice
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment