Volume I
1. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN
guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
2. tuJhse ruksat ki wo shaam-e-ashq afsaaN hai-hai
wo udaasi wo fizaayeN giriya-saame haai-haai
yaaN kafe ka chuum lene ki bhi jee se aarzoo
waaN bagal giri ka sharmaaya sa armaaN haai-haai
wo mere hoTon pe kuch kehne ki hasrat waaye shaam
wo teri aankhoN meiN sun-ne ka armaaN haaye-haaye
3. toDkar ahde karam naashnaa ho jaaieye
banda parwar jaaiye , achha khafa ho jaaiye
raah meiN miliye kabhi mujhse to azraahe sitam
hoNt apne kaat kar fauran juda ho jaaiye
jee meiN aata hai ke us shokhe tagaful kesh se
ab na miliye fir kabhi aur bewafa ho jaaiye
hai ri be-ikhtiyari ye to sab kuch ho magar
us sarapa naaz se kyoonkar khafa ho jaaiye
4. chupke chupke raat din aaNsooN bahana yaad hai
humko ab tak aashiqi ka wo zamaana yaad hai
tuJh se kuch hi milte hi wo be-baak ho jaana mera
aur tera daanton meiN wo ungli dabaana yaad hai
kheench lena wo mera parde ka kona daf-fatan
aur dupatte se tera wo muh chupaana yaad hai
do paher ke dhoop meiN, mere bulaane ke liye
wo tera kothe pe nange paaOn aana yaad hai
5. nazar wo hai ke jo kauno makan ke paar ho jaaye
magar jab ruh-e-taabaN par pade bekaar ho jaaye
nazar us huSn par thahre to aakhir kis tarah thahre
kabhi jo phool ban jaaye kabhi rukhsaar ho jaaye
chala jaata hoon hansta kehlta mauj-e-hawadish se
agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
6. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN
guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
7. ab to uTh sakta nahiN aankhoN se maare intezaar
kis tarah kaaTe koi lay-lo-nahaare intezaar
unki ulfat ka yakeeN ho unke aane ki ummeed
honge dono suraten tab haiN bahar-e-intezaar
meri aaHen na-rasam meri duaayen na-qubool
ya-ilaahi kya karooN maiN sharm sa re intezaar
unke khat ki aarzoo hai unke aamad ka khayaal
kis kadar faila hua kaarwaaN re intezaar
8. shaayar-e-fitrat hoon, jab fikr farmaata hooN maiN
rooh bankar zarre zarre mein shama jaata hooN maiN
aake tuJh bin is tarah ae' dosth ghabraata hoon main
jai har shay meiN kisi shay ki kami paata hooN maiN
teri mehfil tere jalwe fir takaza kya suroor
le uTha jaata hooN zaalim le chala jaata hooN maiN
haay-ri mazbooriyaN karke mohabbat ke liye
muJhko samJhaate hain wo aur unko samJhaate hoon maiN
ek dil hai aur toofaan-e-hawadis-e-zigar
ek sheesha hai ke har patthar se takraata hoon maiN
9. roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam
allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud
ranginiyoN meiN doob gaya pairaahan tamaam
dekho to chasm-e-yaar ki jaadoo nighaayeN
behosh ik nazar meiN huyee anjuman tamaam
10. bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN
kahkashaan hai meri sumran
shaam ki surkhi mera kundan
noor ka taDka meri chilman
toD chuka hooN saare bandhan
poorab pachham uttar dakkhhan
bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN
mere tan meiN gulshan sabke
mere man meiN joban sabke
mere ghaT meiN saachan sabke
meri surat darshan sabke
sabki surat mera darshan
bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN
sabki jholi meri jholi
sabki Toli meri Toli
sabki holi meri holi
sabki boli meri boli
sabka jeewan mera jeewan
bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN
sabke kaajal mere paare
sabki aankhen mere taare
sabki saanse meri dhaare
saare insaan mere pyaare
saari dharti mera aangan
bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN
11. bangal ki maiN shaam-o-shahar dekh raha hooN
har chand ke hooN door magar dekh raha hoon
iflaas ki maari hui makhlookh sare raah
be-goro kafan khaak basar dekh raha hoon
insaan ke hote huye insaan ka ye hashR
dekha nahiN jaata hai magar dekh raha hooN
rehmat ka chamakNe ko hai fir nayare taabaN
hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hooN
12. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN
guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
13. kis ko aati hai masihaayee kise aawaaz dooN
bol ae' khooNkhaar tanhaayee kise aawaaz dooN
chup rahooN to har nafaS Dasta hai naaGaN ki taraH
aaH bharNe meiN hai ruswaayee kise awaaz dooN
oof khamoshi ki ye aaheN dil ko barmaati huyee
oof ye sannaaTe ki shehnaayee kise awaaz dooN
14. agar na zohro-jabeenoN ke darmayaN guZre
to fir ye kaise kaTe zindagi kahaN guzre
muJhe ye waheM raha muddataoN ke zurrate saur
kahiN na khaatir-e-maasooM par gaRaaN guzre
khata muaaf zamaane se badguma hokar
teri wafa pe bhi kya kya hame' guma guzre
muJhe tha shiKwa-e-hiJraaN ke ye hua mehSooS
mere kareeb se hokar wo naagahaaN guzre
15. kya hinD ka zinda kaaNp raaha hai
kya goonz rahi hai taqbeereN
uktaaye haiN shaayad kuch qaidi
aur toD raheN haiN zanzeereN
deewaaroN ke neeche aa-aakar
yuN jama huye hain zindaaNi
seenoN mein tala oon biJli ka
aakhoN meiN jhalakti shamsheereN
kya Unko khabar thee hoThoN par
jo Mohre lagaaya karte the
ik roZ isi khaamoshi se
Tapkegi dhahakTi takreereN
samBholke wo zinda gooNz utha
JhapTo ke wo qaidi chooT gaye
uTTho ke wo baithi deewaaReN
DauDo ke wo TooTi zanzeereN
16. tabiyat in diNoN begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai
qayamat kya ye aib husn-e-do-aalam hoti jaati hai
ke meHfil to wahi hai dilkashi kam hoti jaati hai
wahi hai shaahid aur saaqi magar dil buJhta jaata hai
wahi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai
wahi hai zindagi lekin zigar ye haal hai apnaa
ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
17. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN
guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
18. muddat mein wo fir taaza mulaakaat ka aalam
khaamosh adaaON meiN wo jazbaat ka aalam
alaaH re wo siddhat-e-jazbaat ka aalam
kuch keh ke wo bhooli huyee har baat ka aalam
aariz se Dhalakte huye shabnam ke wo qatre
aakhoN se Jhalakta hua barsaat ka aalam
wo nazroN hi nazroN meiN sawalaat ki duniya
wo aakhoN hi aakhoN meiN jawaabaat ka aalam
19. khayal-e-Ghair ko dil se nikaalO ya_rasool_allaaH
sirhad ko apna deewaana bana do ya_rasool_allaaH
tajalli toor par jis noor ki moosaame dekhee thee
hame bhi ik jhalak uski dikha do ya_rasool_allaaH
hussain ib ne ali ke saBr ne jiske maJe looTe
hame bhi us bala ka hauslaa do ya_rasool_allaaH
20. ae' watan mere watan rooh-e-rawaani-ehra
ae' ke zarroo mein tere boo-e-chanman-rang-e-bahaar
rez-e-alwaas ke tere khaso-khaashaaq meiN hai
haDDiyaaN apne buzuRgoN ki teri khaak meiN hai
tuJhse mooh moDke mooh apna dikhaayenge kahan
ghar jo choDenge to fir chaaw nichaayenge kahan
bazm-e-agiyaar meiN aaraam ye paayenge kahan
tuJhse hum ruThke jaayenge to jaayenge kahan
21. ae' malihaabaad ke rangeeN gulistaaN alwida
alwida-e-sar-zameen-e-subahe_khanda alwida
alwida-e-kishwareesh-e-ro_shabistaaN alwida
alwida-e-jalwa-gaahe husn-e-jaana alwida
tere ghar se ek zinda laash uTTh jaane ko hai
aa gale milne ke aawaaz-e-jaras aane ko hai
haaye kya kya neebate muJko mili thee bebahaar
ye khamoshi ye khule maidaan ye dhanDi hawaa
waye-e-jaam-aksh bustha haaye ye rangeen fazaN
mar ke bhi inko na bhoolega dil-e-dar aashnaa
masth koyal jab dagan ki waadiyoN meiN gaayegi
ye subuk chaaOn babulON ki bahut yaad aayegi
kal se kaun is baag ko rangeeN banaane aayega
kaun phoolon ki haseeN par muskuraane aayega
kaun is sabze ko sote se jagaane aayega
kaun in paudho ko seene se lagaane aayega
kaun jaagega kamar ke naazukaane ke liye
chaandni raatoN ko zaanoN par sulaane ke liye
aam ke baagoN meIn jab barsaat hogi kurkharosh
meri furkat meiN lahoo royegi chasm-e-maiN farosh
ras ki boonde jab uda degi gulistaan rooh ke hosh
unje rangeene pukaareingi hawaye josh josh
sun ke mera naam mausam gham zara ho jayega
ek mehshar sa gulistaan meiN wafa ho jaayega
aa gale mil le khuda-haafiz gulistaan-e-watan
ae' amaani ganJ ke maidaan ae' jaan-e-watan
alwida ae' laala_zaarO soombulistaan-e-watan
as-salam-e-sohbat-e-rangeen-yaaraaN-e-watan
hashR tak rahne na dena tum dagan ki khaak meiN
daFn karna apne shaayar ko watan ki khaak meiN
22. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN
guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
Volume II
23. shaher ki raat aur maiN naashad-o-naakara firooN
jagmagati jaagti saDkoN pe awwara firoooN
ghair ki basthi hai kab tak dar badar mara firooN
ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN
ye rupahli chaoN meiN aakashh par taaroN ka jaal
jaisi sufi ka tasawwur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kaun samJhe kaun jaane jee ka haal
ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar ye kehti hai ke maikhaane meiN chal
fir kisi shehnaz-e-lala-rukh ke kaashaane meiN chal
ye nahin mumkin to fir ae dosth veeraane meiN chal
ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hai ye murda chaand taare noch looN
is kinaare noch looN aur us kinaare noch looN
ek do ka zikR kya saare ke saare noch looN
ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN
raaste meiN ruk ke dum le looN meri aadat nahiN
laut kar waapas chala jaaooN meri fitrat nahiN
aur koi humnawa mil jaaye ye kimat nahiN
ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN
24. hijaab-e-fitna parwar ab uTha leti to achha thaa
khud apne husN ko parda bana leti to achha thaa
teri neechi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai
tu is nashtar ki tezi aazma leti to achha thaa
tere maathe ka tika mard kee kismat ka taara hai
agar tu saaz ye bedari uTha leti to achha thaa
teri maathe pe ye aaNchal bahut hi khoob hai lekin
tu is aaNchal se ik barcham bana leti to achha thaa
25. taskeen-e-dil-e-mehzoom na hui wo sayye karam farma bhi gaye
is sayye karam ko kya kahiye behla bhi gaye taDpa bhi gaye
hum marz-e-wafa bhi kar na sake, kuch keh na sake, kuch sun na sake
yaaN humne jaba hi kholi thee waaN aaNkh jhuki sharma bhi gaye
is mehfil-e-kaif-o-masthi meiN, is anjuman-e-irfaani meiN
sab jaam bakaF baithe hi rahe hum pee bhi gaye chalka bhi gaye
26. dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai us shokh ka sar aaj ki raat
nur hee nur hai kis simT uThaooN aankhe
husN hee husN hai taahat-e-nazar aaj ki raat
nagma-o-mai ka ye toofan-e-tarab kya kehna
mera ghar ban gaya khayyam ka ghar aaj ki raat
nargis-e-naaz meiN wo neeNd ka halka sa khumaaR
wo mere naghma-e-sheri ka asar aaj ki raat
27. ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher meiN rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
muJhse milne meiN abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
un dino muJpe qayamat ka junooN taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junooN taari thaa
maahpaaroN se mohabbat ka junooN taari thaa
shehri yaaroN se raqabat ka junooN taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri
kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard meiN doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaooN
ab meiN wo zazba-e-masoom kahan se laaooN
ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho
28. jaane wale sipaahi se poochO wo kahan jaa raha hai
kaun dukhiya hai jo gaa rahi hai
bhookhe bachhoN ko behla rahi hai
laash jalne ki boo aa rahi hai
zindagi hai ke chilla rahi hai
kitne sehme huye haiN nazaare
kaisa dar-dar ke chalte hain taare
kya jawaani ka khooN ho raha hai
surkH haiN aanchaloN ke kinaare
gir raha hai siyaahi ka dera
ho raha hai meri jaaN sawera
O watan choD kar jaane waale
khul gaya inqalabee farera
29. sham-e-gham kuch us nigah-e-naaz ki baateN karo
bekhudi badhTi chali hai raaz ki baateN karo
ye sukut-e-naaz ye dil ki ragoN ka TooTna
khamoshi meiN kuch shikast-e-saaz ki baateN karo
kuch kafas ki tiliYoN se chhan raha hai noor saa
kuch faza kuch hasrateN parwaaz ki baateN karo
nakhateN zulfeN pareshaan daastaaN-e-shaam-e-gham
suboH hone tak isi andaaz ki baateN karo
30. ye jo kaul-o-karaara hai kya hai
shak hai ya aitbaar hai kya hai
ye jo utTha hai dil meiN reh reh kar
abR hai yaa guBaar hai kya hai
zer-e-lab ik jhalak tabassum ki
barq hai ya sharaar hai kya hai
koi dil ka makaam samjhaaO
ghar hai ya rehguzaar hai kya hai
na khula ye ke saamna tera
deed hai, intezaar hai kya hai
31. kisi ka yooN to hua kaun umR bhar fir bhi
ye husN-o-ishq to dhokha hai sab magar fir bhi
hazaar baar zamaana idhar se guzra hai
nayee nayee si hai kuch teri reh-guzar fir bhi
teri nigaaH se bachNe meiN umR guzri hai
utar gaya rag-e-zaam meiN ye neshtar fir bhi
32. ghazal ka saaz utthaO baDi udaas hai raat
nawa-e-vee sunao baDi udaas hai raat
kahe na tumse to fir aur kisse jaake kaheN
siyaah-julf ke saayO baDi udaas hai raat
suna hai pehle bhi aise meiN buJH gaye haiN charaag
diloN kee khair manaaO baDi udaas hai raat
diye rahO tum yuhiN kuch der aur haath meiN haath
abhi na paas se jaaO baDi udaas hai raat
33. ab aksar chup chup se rahe haiN yun hi kabu lab khole haiN
pehle firaq dekha hota ab to bahut kam boleN haiN
din meiN humko dekhne waaloN apne apne haiN aukaad
jaaO na tum in khusK aankhoN ko hum raatoN ko role haiN
gam ka fasana sunne-waalo aakhir ye shab aaraam karo
kal bhi kahani fir cheDenge hum bhi zara ab sole haiN
34. raat bhar deed-e-namnaar meiN lehraate rahe
saaNs ki tarha se aap aate rahe jaate rahe
khus the hum apne tamaannao ka khwaab aayega
apna armaan baraf ganda naqaab aayega
aa gayee thee dil-e-muztar meiN shikee-baaye se
baz rahee thi mere gham khaane meiN shehnaayee si
shab ki jaagi hui taaro ko bhi neend aane lagi
aap ke aane ki ik aas thi ab jaane lagi
suboh ne sej se uThTe huye li angDaee
os saba too bhee jo aayee to akeli aayee
35. ek chameli ke manDwe tale
maikade se zara door us moD par
do badan do badan
do badan pyaar ki aag meiN jal gaye
pyar harf-e-wafa
pyaar unka khuda
pyaar unkee chita
do badan do badan
do badan pyaar ki aag meiN jal gaye
humne dekha unheN
din meiN aur raat meiN
noor-o-zulmaat meiN
do badan, do badan
do badan pyaar ki aag meiN jal gaye
masjiDoN ke munaaroN ne dekha unhe
mandiroN ke kiwaDoN ne dekha unhe
maikade kee daDaaDoN ne dekha unhe
do badan do badan
do badan pyaar ki aag meiN jal gaye
azazalta abad ye bata chaaragar
teri zambir meiN
nuskha yeki miaaye mohabbat bhi hai
kuch ilaaz-o-mudaawa-e-ulfat bhi hai
do badan do badan
do badan pyaar ki aag meiN jal gaye
36. ishq ke shole ko bhaDkaaO ke kuch raat kaTe
dil ke angaar ko dehkaaO ke kuch raat kaTe
hiJr meiN milne shab-e-maah ke gham aaye haiN
chaarasaajO ko bhi bulwaaO ke kuch raat kaTe
chasm-o-rukhsaar ke azgaar ko jaari rakkhO
pyaar ke naghme ko dohraaO ke kuch raat kaTe
kohe gham aur gaRaaN aur gaRaaN aur gaRaaN
ghamza-do-tesh ko chamkaaO ke kuch raat kaTe
No comments:
Post a Comment