Thursday, 8 September 2011

Mirza Ghalib

Ibteda


haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur


Balli maarhah ke mahalle ki wo pechida daleeloN ki see wo galiYan
saamne Taal ke nuKkad pe baTeroN ke posheede
guD-guDaati hui paaN pi peekoN meiN wo daad wo waH-waH
chand darwaaze par laTke huye boshida se kuch TaaT ke parde
ek baKri ke mamiyaane ki awaaZ
aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere
aise deewaroN se mooH joD kar chalte haiN yahaN
chuDi-waala unke katri ke badi bee jaise
apNi boojHti hui aaNkhoN se darwaaze TaTole
aisee be-noor andheri see gali qaasim se
ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai
asad allah Khan 'GHalib' ka patha milta hai.




1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?





2.
aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak





3. ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
meree wehshat, teree shohrat hee sahee

ham bhee dushman to naheeN haiN apne
GHair ko tujh se mohabbat hee sahee

ham koee tarq-e-wafa karte haiN
na sahee ishq, museebat hee sahee






4. qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhooN
main jaanta hooN jo wo liKhenge jawaab meiN

kab se hooN kya bataaooN jahaan mein kharaab meiN
jab haaye hizr ko bhi rakhoo gar hisaab meiN

muJh tak kab unki bazm meiN aata thaa dauR-e-jaam
saaqi neiN kuch mila na diya ho sharaab meiN

taaqir na intezaar meiN neeNd aaye umr bhar
aaNe ka 'ehed kar gaYe aaYe jo khwaaB meiN

'GHalib' chuTi sharaab par ab bhi kabHi kabHi
peeta hooN roj-e-abro shab-e-maahtaab meiN






5. hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle







6. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?





7. woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?

'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?





8. tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota





9. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage





10. kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?
na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?

yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ?
`adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?






11. ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota






12. koee din gar zindagaanee aur hai
apne jee meiN hamne THaanee aur hai

baarha dekhee haiN unkee ranjishaiN
par kuchch ab ke sar_giraanee aur hai

deke KHat muNh dekhta hai naamabar
kuchch to paiGHaam-e-zabaanee aur hai

ho chukeeN 'GHalib' balaayeN sab tamaam
ek marg-e-naagahaanee aur hai





13. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?






14. zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai





15. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai

hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai

dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai

ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?

jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai





16. unke dekhe se jo aa jaathi hai moonH par raunaq
wo samajhteN haiN ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate haiN pushaaq butoN se kya faiZ
ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai

humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ko khusH rakHne ko 'GHalib' ye khayaal achcha hai





17. sab kahan-kuch lala-o-gul mein numaayaN ho gayee
KHaaK mein kya surateN hongi ke piNhaN ho gayee

ranZ se khu-garZ hua insaaN to mit jaata hai ranZ
musHkilyeN muJh par padi itnee ke aasaaN ho gayee

yuN hi gar rota raha 'GHalib' to e-ehle jahaaN
deKHna in bastiyoN ko tum ke weeraaN ho gayee





18. na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?

huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota

huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?

No comments:

Post a Comment