1. din aa gaye sabaab ke aaNchal sambhaaliye
hone lagi hai shehar meiN halchal sambhaaliye
chaliye sambhal sambhal ke kaThin rah-e-ishq hai
naazuk baDi hai aapKi paayal sambhaaliye
saj dhaj ke aap nikle sare raah khair ho
Takra na jaaye aapka paagal sambhaaliye
ghar se naa jaaO door kisi ajnabi ke saath
barseNge jor-jor se baadal sambhaaliye
2. ulfaT ka jab kisi ne liya naam ro paDe
apni wafa ka soch ke anJaam ro paDe
har shaam ye sawaal mohabbat se kya mila
har shaam ye jawwab ke har shaam ro paDe
raaH-e-wafa meiN humko khushi ki talaash thee
do gaam hi chale the ke har gaam ro paDe
roNa naseeb meiN hai to auroN se kya gila
apne hi sar liya koi ilzaam ro paDe
3. gulshan ki faqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai
ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai
wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN
khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai
karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo
fariyad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai
jo aake ruke daamal pe saba wo ashq nahiN hai paani hai
jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai
4. shamme mazaar thee na koi sogwaar tha
tum jis pe ro rahe the wo kiska mazaar thaa
taDpoonga uMr bhar dil-e-marhoom ke liye
kambaKht naamuraad laDakpan ka yaar thaa
jaadoo hai ya tilisM tumhari jubaaN meiN
tum jhooT keh rahe the muJhe aetbaar thaa
kya kya hamari sazde kee ruswaaeeyaN huyeeN
nakshe-kadam kisi ka sare rehguzaar thaa
5. ye kaisi mohabbat kahan ke fasaane
ye peene pilaane ke sab haiN bahaane
wo daaman ho unka ke sun-saan sehra
bas humko to aakhir haiN aansoo bahaane
ye kisne muJhe masth nazroN se dekha
lage khud-ba-khud hi kadam laD-khaDaane
chalo tum bhi 'gumnaam' ab maikade meiN
tumhe daFn karne haiN kai gham puraane
6. kaanTon ki chubhan paayee phoolon ka maza bhi
dil dard ke mausam meiN roya bhi hasa bhi
aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai
wo dil meiN raha aur use toD gaya bhi
har ek se manzil ka pata pooch raha hai
gumraah mere saath hua raahnuma bhi
'gumnaam' kabhi apnO se jo gam huye haasil
kuch yaad rahe unme to kuch bhool gaya bhi
7. jab tera naam pyaar se likhti haiN oongliyaN
meri taraf zamaane ki uThthi haiN oongliyaN
daaman sanam ka haath meiN aaya tha ek pal
din raat uss ek pal se mehakthi haiN oongliyaN
jab se door ho gaye ho uss din se hee sanam
bas din tumhare aane ke ginti haiN oongliyaN
patthar taraash kar naa bana taj ek naya
fankaar ke zamaane meiN kaTthi haiN oongliyaN
8. baat saaqi ki na Taali jaayegi
karke tauba toD daali jaayegi
dekh lena wo na khaali jaayegi
aah jo dil se nikaali jaayegi
gar yahi tarz-e-fugaN hai andali
to bhi gulshan se nikaali jaayegi
aate aate aayega unko khayaal
jaate jaate bekhayali jaayegi
kyoon nahiN milti gale se tegh-e-naaz
id kya ab ke bhi khaali jaayegi
Thursday, 8 September 2011
Desires
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment