Thursday, 15 September 2011

Nagri Nagri Phira Musafir

nagri nagri phira musaafir ghar ka rasta bhool gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraaya bhool gaya

kya bhula kaise bhoola kyon poochhate ho bas yoon samajho
kaaran dosh nahi hai koi bhoola bhaala bhool gaya

jisko dekho usake dil mein shiqwa hai to itana hai
hamein to sab kuch yaad raha par hamko zamaana bhool gaya

koi kahe ye kisane kaha tha kah do jo kuch ji mein hai
mera ji kah kar pachhataaya aur phir kahana bhool gaya

No comments:

Post a Comment