Thursday, 8 September 2011

Jaam Utha

1.   maan mausam ka kaha chaayi ghaTa jaam utha
aag se aag buJha phool khila jaam utha

yeh mere yaar tujhe uski kasam detha hoon
bhool ja shikwa gila haath mila jaam utha

ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyoN jaisa
der kya karna yahaaN haath badHa jaam utha

pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hai yahan
maikade mein koi choTa na bada jaam utha




2. nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN
hum unko paas biThakar sharaab peete haiN

isi liye to andhera hai maikade meiN bahut
yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN

hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata
tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN

unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar
jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN




3. Jhoom ke jab rindO ne pilaa dee
sheikh ne chupke chupke dua dee

ek kamee thee taj mahal meiN
humne teri tasveer laga dee

aapne jhooTa waada karke
aaj hamaRi umr baDha dee

teri galee meiN sazde karke
humne ibaadat-gaah bana dee





4. tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa
mast nazar ka waasta mast muJhe banaaye jaa

tuJhko kisi se marz kya bijli kahiN giraaye jaa
dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraaye jaa

saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab haTa ke dekh
khilman-e-dil hai muntazir barKe nazar giraaye jaa

wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo
hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa





5. ye peene waale bahut hi ajeeb hote haiN
jahaN se door ye khud ke kareeb hote haiN

kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee
mohabbatoN ke safar bhi ajeeb hote haiN

mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se
diloN ke shaah to aksar gareeb hote haiN

yahaN ke logoN ki hai khaasiyat ye sabse baDi
habeeb lagte hain lekiN raqeeb hote haiN




6. na keh saaqi bahaar aane ke din haiN
zigar ke daaG chil jaane ke din haiN

ada see khooB adaa aane ke din haiN
abHi to door sharmaane ke din haiN

garebaaN DhoonDte hain haath mere
chaman meiN phool khil jaane ke din haiN

tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayeN
tumhare khelne khaane ke din haiN

ghaTaayeN oondi oondi keh rahi hai
maye angoor khichwaane ke din haiN




7. aap aaye janaab barsoN meiN
humne pee hai sharaaB barsoN meiN

phir se dil kee kali khilee apni
phir se dekha sabaaB barsoN meiN

tum kahaN the' kahaN rahe saahiB
aaj hoga hisaaB barsoN meiN

pehle naadaaN the' ab huye daaNa
unko aaya adaaB barsoN meiN

isi um'meed pe' maiN zinda hooN
kya wo denge jawaaB barsoN meiN




8. mere kareeb na aaO ke maiN sharaabi hooN
mera shavoo na jagaaO ke maiN sharaabi hooN

zamaaNe bhar ke nigaahoN se gir chuka hooN maiN
nazar se tum na giraaO ke maiN sharaabi hooN

ye aRz karta hooN gir kar khulush waaloN se
uTha sakO to uthaaO ke maiN sharaabi hooN

tumhari aaNkh se bhar looN suroor aaNkhoN meiN
nazar nazar se milaaO ke maiN sharaab hooN

No comments:

Post a Comment