1. zindagi meiN to sabhi pyaar kiya karte haiN
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga
tu mila hai to ehsaas hua hai muJhko
ye meri umR mohabbat ke liye thoDi hai
ik zara saagame daura ka bhi haq hai jispar
maine wo saaNs bhi tere liye rakh choDi hai
tuJhpe ho jaaoonga qurbaan tuJhe chaoonga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga
apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
maine dhaDkan ki tarah dil meiN basaya hai tuJhe
main tasavoor bhi judaai ka bhala kaise karooN
maine kimsat ki lakiroN se churaaya hai tuJhe
pyaar ka ban ke nigehbaan tuJhe chahoonga
main to mar ke bhi meri jaan tuJhe chahoonga
2. rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye
pehle jaaN fir jaane jaaN fir jaane jaana ho gaye
din badin badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN
phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye
aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye
pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye
pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye
aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye
3. tere bheege badan ki khooshboo se
lehre bhi huyee mastaani si
teri zulf ko chookar aaj huyee
khaamosh hawa diwaani si
ye roop ka kundan dehka hua
ye zism ka chandan mehka hua
ilzaam na dena fir muJhko
ho jaaye agar naadani si
bikhra hua kaajal aankhoN meiN
toofaan ki halchal saansoN meiN
ye narM laboN ki khamoshi
palko meiN chupi hairaani si
4. yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi
wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa muJko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye
ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya
manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
5. ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa fir se muJhe choD ke jaane ke liye aa
pehle se maraasim na sahee fir bhi kabhi to
rasmo rahe duniya hi nibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum
tu muJh se khafa hai to zamaane ke liye aa
ab tak dil-e-khush seham ko tujh se hain ummeedeN
ye aakhri shamme bhi buJhaane ke liye aa
6. pyaar bhare do sharmile nain
jinse mila mere dil ko chain
koi jaane na kyoon muJh se sharmaaye
kaise muJhe tadpaaye
dil ye kahe geet main tere gaaooN
tu hi sune aur main gaata jaaooN
tu jo rahe saath mere
duniya ko thukraaooN tera dil behlaaoon
dar hai muJhe tuJh se bichad na jaaooN
kho ke tuJhe milne ki raah na paaooN
aisa na ho jab bhi tera naam laboN par laaooN
main aansoo ban jaaooN
7. kyooN humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
ye raat ye barsaat ye saawan ka mahina
aise mein to sholoN ko bhi aata hai paseena
is rut meiN gareeboN ka dua kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
dekho to zara jhaank ke baahar ke fazaa meiN
barsaat ne ik aaga laga di hai hawa meiN
is aag ko seene meiN basa kyoon nahiN lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
aaya hai kise raas judaai ka ye aalam
taDpenge meiN akele meiN udhar aap idhar hum
dil dil se meri jaan mila kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
8. ab ke hum bichDe to shaayad kabhi khwaaboN meiN mile
jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mile
dhoonD uJde huye logon meiN wafa ke moti
ye khazane tuJhe mumkin hai kharaboN meiN mile
tu khuda hai na mera ishq faristoN jaisa
dono insaaN haiN to inum itne hijaaboN mein mile
gham-e-duniya bhi gham-e-yaar meiN shaamil kar lo
nasha behta hai sharaaboN meiN to sharaboN meiN mile
ab laboN meiN hooN na tu hai na wo maaji hai faraaq
jaise do saaye tamaana ke saraabOn meiN mile
9. muJhe tum nazar se gira to rahe ho
muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
mere pyaar ko tum mitaa na sakoge
meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
kabhi nagma banke kabhi banke aansoo
tadapta muJhe har taraf paaoge tum
shama jo jalaayi hai meri wafa ne
bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge
kabhi naam baatoN meiN aaya jo mera
to bechain ho hoke dil thaam loge
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigahon mein chaayega gham ka andhera
kisi ne jo poocha sabab-a-subooN ka
bataana bhi chaaho bata na sakoge
10. ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab
kya karoon taarif teri har adaa hai laajawab
kyoon na ye dil tumko chaahe husn se bhi tum ho haseen
paaOn padte hain jahan pe phool khil jaate hain wahin
jaan le lega hamaari ik na ik din ye sabaab
ye tera naazuk badan hai ya koi mehka gulaab
ruk gaye saawan ke baadal zulf jab chehre pe paDi ho
dekh le jo unko shaayad bhool jaaye wo shaayari
sang-e-marmar ka badan hai ya kisi shaayar ka khwaab
11. duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN
tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe
palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
12. rim jhim ki barsaat hai aur jaage huye jazbaat haiN
husN ki garmi pyaar ki narmi dono ab ik saath haiN
ruth hai badi mastaani
dekho bheeg na jaaye jawaani
kahin aag laga bin paani
hosh nahin hai dil ka
ab aise hi kuch haalat haiN
aankho meiN hai sharaare
lage jalne hoth kunwaare
kuch samJho khudaa ishaare
dil hai pyaar ka pyaasa
aur bheege huye din raat haiN
13. shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
yahan gham ke maare tadapte raheN
khizaN is gulistaaN meiN aati rahi hai
hawa sookhe patte uDaati rahi hai
yahan phool khilke baharon se milke bichadte rahe
shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
yahan tere ashkoN ki keemat nahiN hai
reham karna duniya ki aadat nahiN hai
kisi ne na dekha yahan khooN ke aansoo dhalkte rahe
shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
yahan ka dastoor hai khamosh rehna
jo guzri hai dil pe kisi se na kehna
ye din kaate hase yahan log bas ke ujaDte rahe
shikwa na kar gila na kar ye duniya hai pyaare
14. ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
udaas dil ki tamanna hai ashkbaar hooN maiN
khizaaN meiN jaise baaharoN ki yaadgaar hoon maiN
udaasi jis pe haNse wo hasi kisi ko na de
ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
ujaad kar meri duniya ko rakh diya tune
meri hayat ke maalik ye kya kiya tune
jo gham naseeb ho aisi khushi kisi ko na de
khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
15. ik husn ki dewi se muJhe pyaar hua thaa
dil uski mohaabat meiN giraftaar hua thaa
wo roop ke jis roop se kaliyaN bhi lajaayeN
wo julf ke jis julf se sharmaaye ghaTaayeN
maikhane-e-nigaahon pe adaaoN ke taraane
de daale muJhe usne mohabbat ke khazaane
haan aisi hi ik raat thi aisa hi shama tha
ye chaand bhi poora thaa jamana bhi jawaan tha
ik peD ke saaye meiN jab ikraar hua thaa
kashmir ki waadi ke wo purnaikh nazaare
lamhaat mohaabt ke jahan humne guzaare
angDai na lekar meri baahon ke sahaare
gulnaar nazar aati thi wo sharm ke maare
ek tarafa na the husn-o-mohabbat ke ishaare
usne bhi kai baar mere baal sanwaare
ehsaas ka jazbaat ka izhaar hua thaa
kuch roz kate yoon hi bura waqt jab aaya
us husn ki dewi ne bhi nazroN ko firaaya
kurbat ne zamaane ke nighaahon se giraaya
aachal mere haathoN se mohaabat ne chuDaaya
ik raat ko usne muJhe sota hua choDa
chal di wo kahin pyaar ko rota hua choDa
soya hua main neend se jaaga jo sawere
wo jab na mili chaa gaye aankhoN meiN andhere
taqdir kisi ko bhi bure din na dikhaaye
hote hain bure waqt meiN apne bhi paraaye
kya pyaar ki daulat ka talabdaar hua thaa
16. mera imaan mohabbat hai mohabbat ki kasam
saare duniya tere kadmoN pe nichaawar kar doon
chaand taaron se meri jaan tera daaman bhar doon
tere khwaaboN pe kabhi chaa na sake shaam-e-alam
wo jahan ek jahannam hai jahan tu na mile
jal ke mar jaaooon jo ye saaya-e-gesoo na mile
zindagi zehar bhara jaam hai ab tere baghair
teri chaahat pe hai qurbaan mere laakh janam
mushkuraa jaane-e-bahara ke sawera hoga
khatm sadiyon ki riwazon ka andhera hoga
shab ki taqdeer meiN likha hai guzar hi jaana
raah suraj ki kahan rok sake ehle sitam
17. fir aake chale jaana ik baar chale aao
surat to dikha jaao, ik baar chale aao
tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao
jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
kis baat pe roothe ho itna to bata jaao
kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
ab jaan pe ban aayi lillah chale aao
18. hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua
zinda hai kitne log mohabbat kiye baghair
guzre dino mein jo kabhi gunje the keh kahe
ab apne ikhtiyaar meiN wo bhi nahin rahe
kismat meiN reh gayi hai jo aahe to kya hua
sadma ye jhelna hai shikaayat kiye baghair
wo saamne bhi ho to na kholenge hum zubaan
likkhi hai uske chehre pe apni hi daastaan
usko taras gayi hai ye baaheN to kya hua
wo laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair
pehle karib tha koi ab dooriyaaN bhi haiN
insaan ke naseeb meiN majbooriyaaN bhi haiN
apni badal chuka hai wo raahen to kya hua
hum chup rahenge usko malaamat kiye bahgair
19. bhadak rahi hai aag si hawaaoN meiN
sulag raha hooN baadaloN ke chaaoN meiN
bahaar muJh se chin gayi muJhe bahaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye
kisi ke dillagi ko pyaar jaanke
main lut gaya hoon dil ki baat maanke
na muJhko chaahiye wafa na muJhko pyaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye
na jaane kab ye dil ka dard jaayega
rahoonga hosh meiN to gham sataayega
mere liye to raat din bas ik khumaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye
tadap na mere dil kisi ki aas meiN
hazaar talkhiyaaN hai teri pyaas meiN
tuJhe to saari zindagi ka intezaar chaaiye
muJhe sukooN chaahiye muJhe karaarn chaahiye
Sunday, 25 September 2011
Mehdi Hassan
Labels:
Mehdi Hassan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment