Thursday, 8 September 2011

Face to face

1.   sachchi baat kahi thee maiNe
logoN ne sooli pe chaDhaya
muJhko zehaR ka jaaM pilaaya
phir bHi unko cha'in na aaya
sachchi baat kahi thee maiNe

leke jahaN bhi waqt gaya hai
zulM mila hai zulm saha hai
sach ka Ye Inaam mila hai
sachchi baat kahi thee maiNe

sab se behtaR kabhi na ban'na
jag ke rehBar kabhi na ban'na
peer pa'yambar kabhi na ban'na
sachchi baat kahi thee maiNe

chup rehkar hi waqt guzaarO
sach kehne pe jaaN math waaro
kuch to seekho muJh se Yaaro
sachchi baat kahi thee maiNe



2. dairO haram meiN basNe waaLe
mai-KhaRo meiN phooT na Daalo

ThoofaaN se hum TaKraaYenge
tum apNi kashthi ko samBhalO

maiKhana meiN aaYe waaee'z
inko bhi insaaN bana Lo

aarizoN-laB saada rehne do
tajMahal pe rang na daalo




3. besabab baat baDhaaNe ki zaroorat kya hai
hum khaFa kab the maNaane ki zaroorat kya hai

aapKe dum se to duniYa ka bhaRam hai kaaYam
aap jab haiN to zamaaNe ki zaroorat kya hai

tera kucha, tera dar, teri gali kaafi hai
be-ThikanO ko Thikane ki zaroorat kya hai

dil se miLne ki tamanna hi nahiN jab dil meiN
haath se haath milaaNe ki zaroorat kya hai

ranG aankhoN ke liye boo hai damaagoN ke liye
phool ko haaTh lagaane ki zaroorat kya hai




4. zindagGi tune lahoo leke diYa kuch bhi nahiN
tere daamaN meiN mere waaste kYa kuch bhi nahiN

mere in haathoN ki chaaho to talaashi le lO
mere haathoN meiN lakiroN ke siwa kuch bhi nahiN

humNe dekha hai kai aise khudaOn ko yahaN
saamNe jinke wo sach much ka khuda kuch bhi nahiN

Yaa khuda ab ke ye kis ranG se aaYi hai bahaaR
zarD hi zarD hai peDoN pe hara kuch bhi nahiN

dil bhi ik zid pe aDa hai kisi bachche ki taraH
ya to sab kuch hi ise chaachiYe ya kuch bhi nahiN



5. tumNe badle humSe gin-gin ke liye
humNe kya chaaha tha is din ke liye

waSl ka din aur itna mukhTasar
din giNe jaate the is din ke liYe

wo nahiN sunte hamari kYa kareN
maanGte haiN hum dua jinke liYe

chaahNe waalO se gar matlab nahiN
aap phir paida hua kinke liYe

baarabaaN kaliYan ho halqe ranG ki
bheJnee hai ek kamsin ke liYe



6. pyaaR ka pehla khat liKhne meiN waqt to lagta hai
naYe pariNdo ko uD'dne meiN waqt to lagta hai

jiSm kee baat nahiN thi unKe dil taq jaana tha
lambi doori tay kaRne meiN waqt to lagta hai

gaanTh agar pad jaaye to phir rishte ho ya Dori
laakh kareN koshish khulne meiN waqt to lagta hai

humNe ilaaze zakhme dil to DhoonD liya lekin
gehRe zakhmoN ko bharNe meiN waqt to lagta hai




7. jeete rehNe ki saza de, zindaGi ae zindaGi
ab to maRne ki dua de zindaGi ae zindaGi

maiN to ab uqta gaya hoon kya yahi hai qaayanaat
bas Ye aa'ieena haTa de zindaGi ae zindaGi

DhoonDne niklaa Tha tuJhko aur khud ko kho diYa
tu hi ab mera pata de zindaGi ae zindaGi

Yaa muJhe ehsaas ki ees qaid se kar de riHaa
waRna deewana banaade zindaGi ae zindaGi



8. sheiKhji thoDi see peeKar aa'iye
mai hai kYa shai pHir hume batlaa'iYee

aap kYoon haiN saari duniya se khaFa
aap bHi dusHman mere ban jaa'iye

kYa hai achcha, kya buRa banda-nawaaZ
aap samJheN to hume samJhaa'iYe

jaaNe diJe akL ki baateN janaaB
dil ki suniYe aur peete jaa'iYe

No comments:

Post a Comment