Thursday, 8 September 2011

Soz

1.   tamanna fir machal jaaye agar tum milne aa jaaO
ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jaaO

muJhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahiN paaya
ye gHam dil se nikal jaaye agar tum milne aa jaaO

nahiN milte ho muJhse tum to sab humDard haiN mere
zamana muJhse jal jaaye agar tum milne aa jaaO

ye duniya bhar ke jHagDe ghar ke kisse kaam ki baateN
bala har ek Tal jaaye agar tum milne aa jaaO





2. aap bhi aayiye humko bhi bulaate rahiye
dosthi zurm nahiN dosth banaate rahiye

zaHer pee jaaiye aur baaNTiye amRit sabko
zaKHm bhi khaaiye aur geet bhi gaate rahiye

waQt ne loot lee logoN ki tammannayeN bhi
khwaab jo dekhiye aurOn ko dikhaate rahiye

sHakL tho aapke bhi zahen meiN hogi koi
kabhi ban jaayegi tasveer banaate rahiye





3. ab agar aaO tho jaane ke liye math aana
shiRf eHsaan jataane ke liye math aana

meaine palkoN pe tammannnayeN saza rakhi hai
dil meiN ummeed ki sau shammeN jala rakhi hai
ye hasiN shammeN buJhane ke liye math aana

pyaar ki aag meiN zanzeereN pighal sakti hai
chaahne waaloN ki takdeereN badal sakti hai
tum ho bebas ye bataane ke liye math aana

ab tum aana jo tumhe muJhse mohabbat hai koi
muJhse milne ki agar tumko bhi chaahat hai koi
tum koi rasM nibhaane ke liye math aana



4. shaam hone ko hai
laal suraj samandar meiN khone ko hai
aur uske pare kuch parinde kataare banaaye
unhi jungaloN ko chale,
jinke pedOn ki shaakhon pe hai ghosle
ye pariNde wahiN laut kar jaayenge, aur so jaayenge
hum hi hairan haiN, in makaanoN ke jungle meiN
apna koi bhi thikaana nahin
shaam hone ko hai
hum kahan jaayenge




5. aaj maine apna fir sauda kiya
aur fir maiN door se dekha kiya

zindagi bhar mere kaam aayen oosool
ek ek karke unhe becha kiya

kuch kamiN apni wafaaoN meiN bhi thi
tum se kya kehte ki tumNe kya kiya

ho gayi thi dil ko kuch ummeed si
khair tumne jo kiya achcha kiya.




6. kyooN dareN zindagi meiN kya hoga
kuch na hoga tho tazurBa hoga

haNsti aankhoN meiN jhaaNk kar dekho
koi aaNsoo kahin chupa hoga

in dinoN na ummeed sa hooN maiN
shaayad usne bhi ye suna hoga

dekhkar tumko sochta hooN maiN
kya kisi ne tumheN chua hoga




7. pyaas ki kaise laaye taaB koi
nahiN dariya tho ho saraab koi

raat bazthi thi dooor shehnaaee
roya peekar bahut sHaraaB koi

kaun sa zaKhm kisne baksha hai
uska rakhe koi hisaab koi

fir main sunane laga hooN is dil ki
aane waala hai fir aJaaB koi



8. ik pal ghamoN ka dariya, ik pal khushi ka dariya
rukta nahin kabhi bhi, ye zindagi ka dariya

aaNkheN thi wo kisi ki, ya khwaab ke zanzeereN
awaaZ thi kisi ki ya raaGini ka dariya

is dil ki waadiyoN mein ab khaak uD rahi hai
behta yahiN tha pehle ek aasHiqi ka dariya

kiRene mein hai ye lehreN ya lehroN meiN hai kiReNe
dariya ki chanDni hai yaa chanDni ka dariya





9. tum baiThe ho lekin jaate dekh raha hooN
maiN tanhaayi ke din aate dekh raha hooN

aane waaale lamHe se dil sehma hai
tumko bhi darte ghabraate dekh raha hooN

kab yaadoN ka zakhM bhare kab daag miTe
kitne din lagte hain bhulaate dekh raha hooN

uski aankhoN mein bhi kaajal faila hai
main bhi muDke jaate jaate dekh raha hooN

No comments:

Post a Comment