1. huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon
idhar say guzra tha soncha salaam karta chaloon
nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai
tumhari zulf kay saayey mein shaam karta chaloon
unhay yeh zid ki mujhay dekh kar kisi ko na dekh
mera yeh shauk ke sabsay qalaam karta chaloon
yeh mere khaboN ki duniya nahin sahi lekin
ab aa gaya hooN to do din qyaam karta chaloon
2. safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo
sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo
kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi raasta nahin deta
muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN
inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo
3. shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta
sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta
girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin
chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta
maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi
wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta
humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar'
main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta
4. aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin
aapse kya gila kareN aapese koi gila nahin
sisha-e-dil ko toDna unka to ek khel hai
humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin
kaash wo apne gham muJhe de deN to kuch sukooN mile
wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin
juRm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko choD doon
kehte haiN is gunaaH kee hoti koi saJa nahiN
5. mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle
use samaJhne ka koi to silsila nikle
kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara
na jaane kaun sa panna muDa hua nikle
jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai
usi ke baare meiN socho to faasila nikle
6. BoliyaN (Punjabi)
7. mai khayal hu kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
8. aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho
ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho
main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanoN ki chandni tum ho
dostoN se wafa ki ummeedeN
kis zamaane ke aadmi tum ho
9. maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN
lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN
insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh
yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN
chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN
'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN
10. dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede
fir se ek baar muJhe meri jawaani dede
abR ho jaam ho saaki ho mere pehloo meiN
koi to shaam muJhe aisi suhaani dede
nasha aa jaye muJhe teri jawaani ki kasam
tu agar jaam meiN bhar ke muJhe paani dede
har jawaN dil mere afsaanoN ko dohraata rahe
hashR tak khatM na ho aisi kahaani dede
11. tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi
ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi
bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi
raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
12. fir usi raah guzar kar shaayad
hum kabhi mil sakeN magar shaayad
jaan pehchaan se kya hoga
fir bhi ae dosth gaur kar shaayad
muntjir jinke hum rahe unko
mil gaye aur hum-safar shaayad
jo bhee bicHDe hain kab mile hain 'faraar'
fir bhee tu intezaar kar shaayad
Thursday, 8 September 2011
Echoes
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment