Thursday, 8 September 2011

Beyond Time

1.   apni aankho ke samundar meiN utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna
pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de

aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de

zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko
soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de




2. neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai

baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko
Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai

ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki
kisi deewar ke saye ka barosa kya hai

apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid'
warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai




3. apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai

kitna aasaaN hai tasveer banaana auroN kee
khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai

tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai
ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai

chullu meiN ho dard ka dariya dhyaan meiN uske hoNTh
yuN bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai




4. Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe
baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe

tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni
dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe

khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka
ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe

aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne
gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe




5. log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN
itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN

main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon
roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN

neend se mera taaluq hi nahin barso sein
khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN

mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye
aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN




6. mera dil bhi shauk say todo ek tajurba aur sahee
lakh khilonay tod chukay ho ek khilona aur sahee

raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag
dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahee

dam hai niklta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo
lakh tamashay dekhay hongay ek nazaara aur sahee

khanjar ley kar saunchtay kya ho qatl `Murad' bhi kar daalo
daag hain sau daaman pe tumharay ek izaafa aur sahee




7. jhoothi sachchi aas pay jeena kab tak aakhir aakhir kab tak
mai ki jagah khoon-e-dil peena kab tak aakhir aakhir kab tak

saucha hai ab paar utraingay ya Takra kar doob marenge
toofanoN ki zad pay safeena kab tak aakhir aakhir kab tak

ek maheene ke waade par saal guzaara phir bhi na aaye
waade ka yeh ek maheena kab tak aakhir aakhir kab tak

saamnay duniya bhar ke gham hain aur idhar ik tanha hum hain
sainkDo pathar ik aaiana kab tak aakhir aakhir kab tak




8. saare badan ka khoon paseene meiN jal gaya
itna chale ke jiSm hamara piGhal gaya

chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din
dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya

achha hua jo raah meiN Thokar lagee humeN
hum gir paDe to saara jamaana sambhal gaya

wehshat meiN koi saath humara na de saka
daaman ke fiKr kee to garebaaN nikal gaya




9. saamne hai jo usey log bura kehte haiN
jisko dekha hee nahi usko khuda kehte haiN

zindagi ko bhee sila kehte haiN kehne waale
jeene waale to gunaahoN kee saza kehte haiN

faasile umR ke kuch aur badha deti hai
jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte haiN

chand masoom se pattoN ka lahoo hai `Fakir'
jisko mehboob ke haathoN ki hina kehte haiN




10. ye kareN aur wo kareN aisa kareN waisa kareN
zindagi do din ki hai do din mein hum kya kya kareN

jee meiN aaata hai ki deiN parde se parde ka jawaab
hum se wo parda kareN duniyaa se hum parda kareN

sun raha hoon kuch luTere aa gayey haiN shehar meiN
aap jaldi bandh apne ghar ka darwazaa kareN

is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak
aaiyey mil-jul ke ik duniya nayee paida kareN




11. jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai
meri tarah se akela dikhayee deta hai

yeh ek abR ka tukDa kahan kahan barse
tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai

yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri
jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai



12. shaayad aa jaayega saaqi ko taras ab ke baras
mil na paya hai un aankhon ka bhi ras ab ke baras

aisi chaayi thi kahan gham ki ghatayeN pehle
haan mere deedar tar khoob baras ab ke baras

oof wo un umad bhari aankhon ke chlakthe huye jaam
badh gayi aur bhi peene ki hawas ab ke baras

pehle ye kab tha ki wo mere hain main unka hoon
unki yaadon ne sataya hai tho bas ab ke baras

No comments:

Post a Comment