Wednesday, 7 September 2011

A Sound Affair

1.   ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de

tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de

aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin
meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de





2. Ye to nahiN ke gam nahiN
haaN meri aaNkh nam nahiN

tum bhi to tum nahiN ho aaj
hum bhi to aaj hum nahiN

ab na khushi kee hai khushi
gam ka bhi ab to gam nahiN

maut agar che-maut hai
maut se zeest kam nahiN





3. kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah
log milte haiN badalte huye mausam kee tarah

mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de
hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah

maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos
dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah

kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai
dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah




4. socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN
maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN

dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN

jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar
bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN

ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN





5. kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH
mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH

main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN
muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH

kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland
jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH

bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth
guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH





6. jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha
jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha
din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha
tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe
salha-saal mere naam baraabar likhe
kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe
pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise
tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise
tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN
aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.




7. aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai

gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai

waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai

ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai





8. manzil na de charaag na de hauslaa to de
tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de

maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab
lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de

barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb
mere khuda kahaN hai tu apna pata to de

beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de

No comments:

Post a Comment