1. tum itna jo muskura rahe ho
kya gham hai jisko chupaa rahe ho
aankhoN meiN namee haNsi laboN par
kya haal hai kya dikhaa rahe ho
ban jaayenGe zaher peete peete
ye ashQ jo peete rahe ho
jin zakhmoN ko waqt bhar chala hai
tum kyooN unhe cheDe jaa rahe ho
rekhaaOn ka khel hai muqqaddar
rekhaaOn se maat khaa rahe ho
2. too nahiN to zindagi meiN aur kya reh jaayega
door tak tanhaaeeyoN ka silsila reh jaayega
dard ki saari tahe aur saare guzre haadse
sab dhooaN ho jaayenge ik faakeya reh jaayega
yuN bhee hoga wo muJhe dil se bhula dega maGar
ye bhee hoga khud usee meiN ik khala reh jaayega
daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaaN
ye agar TooTe kabhee to faaslaa reh jaayega
3. koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyooN hai
wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyooN hai
yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyooN hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyooN hai
ik zara haath baDha deN to pakaD le daaman
uske seene meiN sama jaaye hamari dhaDkan
itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyooN hai
dil-e-barbaad se nikla nahiN ab tak koi
ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo TooT gayee phir se bandhaata kyooN hai
tum asarrat ka kahO ya ise gham ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyooN hai
4. kyooN zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne huye kareeb ke hum door ho gaye
aisa naheeN ke humko koi bhee khushi nahiN
lekin ye zindagi to koi zindagi nahiN
kyooN iske faisle hameN manzoor ho gaye
paaya tumHe to humko laga tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya
palkoN se khwaab kyooN gire kyooN choor ho gaye
5. Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahiN
daba daba sa sahee dil meiN pyaar hai ke nahiN
tu apne dil ki jawaaN dhaDkanoN ko gin ke bata
meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahiN
wo pal ke jis meiN mohabbat jawaaN hoti hai
us ek pal ka tuJhe intezaar hai ke nahiN
teri umeed pe ThukRaa raha hooN duniya ko
tuJhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahiN
6. tum ko dekha to ye khayaal aaya
zindagi dhoop tum ghana chaaya
aaj phir dil ne ik tamanna ki
aaj phir dil ko humNe samJhaaya
tum chale jaaoge to socheNge
humne kya khoya humne kya paaya
hum jise gunguna nahiN sakte
waqt ne aisa geet kyooN gaaya
7. pyar muJh se jo kiyaa tumne to kya paaogi
mere haalaat ki aandhi meiN bikhar jaaogi
ranj aur dard ki basthi ka maiN baashinda hooN
ye to bas maiN hooN ke is haal meiN bhi zinda hooN
khwaab kyoon dekhooN wo kal jispe maiN sahrminda hooN
maiN jo sharminda hooN to aur tum bhi sharmaaogi
kyooN mere saath koi aur pareshaaN rahe
meri duniya hai jo weeraan to weeraan rahe
zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe
humsafar muJhko banaaogi to pachtaaogi
ek maiN kya abhi aayenge diwaane kitne
abhi goonjeNge mohabbat ke taraane kitne
zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne
kyoon samaJhti ho muJhe bhool nahi paaogi
8. ye bata de muJhe zindagi
pyaar ki raah ke humsafar
kis tarah ban gaye ajnabee
ye bata de muJhe zindagi
phool kyooN saare muJhaa gaye
kis liye buJh gayee chandini
kal jo baahoN meiN thee
aur nigaahoN meiN thee
ab wo garmi kahaaN kho gayee
na wo andaaz hai
na wo awaaz hai
ab wo narmi kahaaN kho gayee
bewafa tum nahiN
bewafa hum nahiN
fir wo jazbaat kyooN so gaye
pyaar tumko bhi hai
pyaar humko bhi hai
faasle phir ye kyooN ho gaye
ye bata de muJhe zindagee
9. humsafar banke hum saath haiN aaj bhee
fir bhee hai ye safar ajnabi ajnabi
raah bhee ajnabi mod bhee ajnabi
jaayeN hum kidhar ajnabi ajnabi
zindagi ho gayee hai sulagta safar
door tak aa raha hai dhuaaN sa nazar
jaane kis mod par kho gayee har khushi
deke dard-e-jigar ajnabi janabi
humne chun chun ke tinke banaaya tha jo
aashiyaaN hasratoN se sajaaya tha jo
hai chaman meiN wahi aashiyaaN aaj bhee
lag raha hai magar ajnabi ajnabi
kisko maaloom tha din ye bhee aayenge
mausamoN kee tarah dil badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhee ajnabi
har ghaDi har pahar ajnabi ajnabi
10. rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai
pehchaan jisse nahiN thee kabhi
apna bana hain wahi ajnabi
rishtaa ye kaisa hai naata ye kaisa hai
tumhe dekhte hee rahooN main hamesha
mere saamNe yoon hee baithe rahO tum
karooN dil ki baateN maiN khaamoshiYoN se
aur apne laboN se na kuch bhee kahO tum
ye rishta hai kaisa, ye naata hai kaisa
tere tan ki khushboo bhee lagti hai apni
ye kaisi lagan hai ye kaisa milan hai
tere dil ki dhaDkan bhee lagti hai apni
tumhe paake mehsoos hota hai aise
ke jaise kabhi hum judaa hee nahin the
ye maana ke jismoN ke ghar to naye hain
magar hai puraane ye bandhan diloN ke
11. phir aaj muJhe tumko bas itna bataana hai
hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai
madhuban ho ya gulshan ho patjhad ho ya saawan ho
har haal meiN insaaN ka ik phool sa jeewan ho
kaantoN meiN ulajh ke bhi khushboo hee lutaana hai
hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai
har pal jo guzar jaaye daaman ko to bhar jaaye
ye soch ke jee leiN tho takdeer saWar jaaye
is uMr kee raahoN se khushiyoN ko churaana hai
hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai
sab dard miTaa de hum, har gham ko saza de hum
kehte hai jise jeena duniya ko sikha de hum
ye aaj to apna hai kal bhee apnaana hai
hasna hee jeewan hai haste hee jaana hai
12. ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhna ho gar
to pehle aake maaNg le meri nazar teri nazar
ye tera ghar ye mera ghar ye ghar bahut haseen hai
ye ghar bahut haseen hai ye ghar bahut haseen hai
na baadloN ke chaaOn meiN naa chandni ke gaaOn meiN
na phool jaise raaste bane haiN iske waaste
magar ye ghar ajeeb hai zameen ke kareeb hai
ye eet-pattharoN ka ghar hamaari hasratoN ka ghar
jo chaandni nahin to kya ye roshni hai pyaar ki
diloN ke phool khil gaye to fikR kya bahaar ki
hamaare ghar na aayegi kabhi khushi udhaar ki
hamaari raahatoN ka ghar hamaari chaahatoN ka ghar
yahan mahak wafaaoN ki mohabbatoN ka rang hai
ye ghar tumhara khwaab hai ye ghar meri umang hai
na aarzoo pe qaid hai na hausle pe jung hai
humare hausloN ka ghar hamaari himmatoN ka ghar
13. ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
bhale cheen lo muJhse meri jawaani
magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani
mohalle ki sabse nishaani purani
wo buDhiya jise bachche kehte the naani
wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera
bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
wo choti see raateN wo lambi kahaaNi
kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna
wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa
wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani
kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
gharOnde banana, banaake miTaana
wo maasoom chaahat ki tasveer apni
wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni
na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
baDi khoobsoorat thi wo zindgaani
14. mere dil meiN tu hi tu hai dil ki dawa kya karooN
dil bhee tu hai jaaN bhee tu hai tuJhpe fidaa kya karooN
khud ko khoke tuJhko paakar kya kya mila kya kahooN
teri hoke jeene meiN kya aaya maza kya kahooN
kaise din haiN kaisee raateN kaisi fizaa kya kahooN
meri hoke tune muJhko kya kya diyaa kya kahooN
meri pehloo meiN jab tu hai phir maiN dua kya karooN
dil bhee tu hai jaaN bhee tu hai tuJhpe fidaa kya karooN
hai ye duniya dil ki duniya milke rahenge yahaan
lootenge hum khushiyaaN har pal dukh na sahenge yahaaN
armaano ke chanchal dhaare aise bahenge yahaaN
ye to sapno ki jannat hai sab hi kahenge yahaN
ye duniya mere dil meiN basi hai dil se juda kya karooN
dil bhee tu hai jaaN bhee tu hai tuJhpe fidaa kya karooN
Thursday, 8 September 2011
Ghazals from Films
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment