1. apne hoThoN par sajaana chaahta hooN
aa tuJhe maiN gun-gunaana chaahta hooN
koi aaNsoo tere daaman par girakar
boond ko moti banaana chaahta hooN
thak gaya maiN karte-karte yaad tuJhko
ab tuJhe maiN yaad aana chaahta hooN
chaa raha hai saari basti meiN andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hooN
aakhri hichki tere zaanO pe aaye
maut ko bhi shaayarana chaahta hooN
2. dosti jab kisi se kee jaaye
dushmano ki bhi raaye lee jaaye
maut ka zahar hai fizaoN meiN
ab kahan ja kay saans lee jaaye
bas isee soNch meiN hooN dooba hua
ye nadi kaise paar kee jaaye
mere maazi ke zakhm bharne lage
aaj phir koi bhool kee jaaye
botlayeN khol ke to pee barsoN
aaj dil khol ke bhee pee jaaye
3. kahiN aisa naa ho daaman jala lo
hamaare aaNsooN par khaaK daalo
manaana hee zaroori hai to fir tum
hume sabse khafa hokar mana lo
bahut royee huyee lafti haiN aaNkheN
meri khaatir zara kaajal laga lo
akelepan se khauF aata hai muJhko
kahan jo ae mere khwab-o-khayaaloN
bahut masoom baitha hooN maiN tumse
kabhi aakar muJhe haiRat meiN daalO
4. yaa to miT jaa'iye ya miTa dijiye
kijiye jo bhi sauda khaRa kijiye
ab jafa kijiye ya wafa kijiye
aakhri waqt hai bas dua kijiye
apnee chehre se zulfeN haTa dijiye
aur phir chaand ka saamna kijiye
har taraf phool hi phool khil jaayenge
aap aise hee haNste raha kijiye
aapkee ye haNsi jaise ghoongru baje
aur qayamat hai kya ye bata dijiye
5. kaise kaise haadse sehte rahe
hum yuNhi jeete rahe haNste rahe
uske aa jaane kee um'meedeN liye
raasta muD muD ke hum takte rahe
waqt to gujra magar kuch is tarah
hum charaagoN kee tarah jalte rahe
kitne chehre the humaare aas-paas
tum hi tum dil meiN magar baste rahe
6. khaamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
sannaTa hee goonJ raha ho aisa bhi ho sakta hai
mera maaJi muJh se bichaD kar kya jaane kis haal meiN hai
meri taraH wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
sehra sehra kab tak maiN DhoonDooN ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sehraa ho aisa bhi ho sakta hai
aehle tooFaaN soNch rahe haiN saahil dooba jaata hai
khud unka dil dooB raha ho aisa bhi ho sakta hai
7. bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai
ae sanam tere baare meiN kuch soNchkar
apne baare meiN kuch sochna Jurm hai
yaad rakhna tuJhe mera ek Jurm thaa
bhool jaana tuJhe doosra Jurm hai
kya sitam hai ke tere haseeN sehar meiN
har taraf gaur se dekhnaa Jurm hai
8. jab kisi se koi gila rakhnaa
saamne apne aai'ina rakhna
YuN ujaaloN se waasta rakhnaa
shamma ke paas hi hawa rakhnaa
ghar ki taameer chaahe jaisi ho
ismeN rone ki jageH rakhnaa
masJideN haiN namaaziYoN ke liye
apne ghar meiN kahiN khuda rakhnaa
milan-julna jahaN zaroori ho
milne-julne ki hauslaa rakhnaa
Thursday, 8 September 2011
In Search
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment