1. jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la
zara si pyaas to buJha sharaab la sharaab la
tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tuJhe lage meri dua sharaab la sharaab la
yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh meiN
mitaa de naam hosh ka sharaab la sharaab la
tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la
2. paseene paseene huye jaa rahe ho
ye bolo kahaN se chale aa rahe ho
hameN sabR karne ko keh to rahe ho
magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho
ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai
baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho
ye aaina hai ye to sach hi kahega
kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho
3. tumne sooli pe latakte jise dekha hoga
waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga
khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga
kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga
maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar
rang hoga na badan hoga na chehra hoga
4. mere jaise ban jaOge jab ishq tumhe ho jaayega
diwaroN se takraaOge jab ishq tumhe ho jaayega
har baat gawaara kar loge mannat bhi ukara loge
tabeejeN bhi bandhwaaOge jab ishq tumhe ho jaayega
tanhaayee ke jhoole jhoolOge har baat puraani bhoolOge
aayine se ghabraOge jab ishq tumhe ho jaayega
jab sooraj bhi kho jaayega aur chaand kahin so jaayega
tum bhi ghar der se aaOge jab ishq tumhe ho jaayega
bechaiNi jab baDh jaayegi aur yaad kisi ki aayegi
tum meri ghazaleN gaOge jab ishq tumhe ho jaayega
5. jabse hum tabah ho gaye
tum jahan-panah ho gaye
husn par nikhaar aa gaya
aayine se aah ho gaye
aandhiyoN ki kuch khata nahiN
hum hi dard-e-raah ho gaye
dushmanoN ko chitthiyaN likho
dosth khair-baah ho gaye
6. humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe
pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe
chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega
is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe
roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee
kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe
kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe
7. ik nazar dekh ke hum jaan gaye
aap kya cheez haiN pehchaan gaye
fir bhi zinda hooN ajab baat hai ye
kab se ho leke meri jaan gaye
tum jo aaye to bhari mehfil meiN
dil gaye haath se eemaaN gaye
jis jagah par na farishte pahuNche
us jagah aaj ke insaan gaye
8. bahut dinoN kee baat hai
fizaa ko yaad bhi nahiN
ye baat aaj kee nahiN
bahut dinoN kee baat hai
shabaab par bahaar thee
fizaa bhi khush-gawaar thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
kisi ne muJhko rok'kar
badi adaa se Tok'kar
kaha tha lauT aae'iye
meri kasam naa jaai'iye
par muJhe khaBar na thee
maahOl par nazar na thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
maiN shehaR se phir aa gaya
khayal thaa ke paa gaya
us'e jo muJhse door thee
magar meri zaroor thee
aur ik hasiN shaaM ko
maiN chal paDa salaam ko
gali ka rang dekh'kar
nayee tarang dekh'kar
muJhe baDi khushi huyee
maiN kuch isi khushee meiN tha
kisi ne Jhaank'kar kaha
paraaye ghar se jaai'iye
meri kasma na aai'iye
wahi haseeN shaam hai
bahaar jiska naam hai
chala hooN ghar ko choDkar
na jaane jaaoonga kidhar
koi nahiN jo Tok'kar
koi nahiN jo Rok'kar
kahe ke laut aai'iye
meri kasam na jaai'iye
meri kasam naa jaai'iye ......
Wednesday, 7 September 2011
Ecstasies
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment