Thursday, 8 September 2011

Marasim

1.  haath chooTen bhi tho rishthe nahin choDa karthe
waqt ki shaak se lamhein nahin toDa karthe

jiski aawaaz meiN silwat ho nigahoN meiN shikan
aisi tasvir ke tukDe nahiN joda karthe

shahad jeene ka mila karta hai thoDa thoDa
jaane waaloN ke liye dil nahin thoDa karthe

lagke saahil se jo beHta hai use beHne do
aisi dariya ka kabhi rukh nahiN moDa karthe




2. ek puraana mausam lauTa, yaad bhari purvayi bhi
aisa to kam hi hotha hai, wo bhi ho tanhaayee bhi

yaadon ki bauchaaroN se jab palke bheegne lagti hai
kitni soundi lagthi hai tab maanjhi ki ruswaee bhi

do do shakleN dikthi haiN is behke se aayine meiN
mere saath chala aaya hai aapka ik saudayee bhi

khamoshi ka haasil bhi ik lambi si kamoshi hai
unki baath suni bhi humne, apni baat sunayi bhi.




3. aankhon mein jal raha hai kyoon, bujtha nahin dhuaaN
uThtha tho hai gata sa barastha nahiN dhuaaN

choolha nahin jalaye ya basti hi jal gayi
kuch roj ho gaye hain abh uThtha nahin dhuaaN

aankhoN se ponchne se laga aanch ka patha
yoon chehra pher lene se chuptha nahin dhuaaN

aankhoN se aansoon ke marasim purane haiN
mehmaan ye ghar meiN aayen tho chubtha nahin dhuaaN




4. woh kaaTh ke purze uDa raha tha
hawavon ka roop dikha raha tha

kuch aur bhi ho gaya numaayaN
main apna likha mita raha tha

usi ka eemaan badal gaya hai
kabhi jo mera khuda raha tha

wo ek din ek ajnabi ko
meri kahani suna raha tha

wo umR kam kar raha tha meri
maiN saal apne baDha raha tha



5. shaam se aankh meiN namiN si hai
aaj fir aapki kami si hai

dafan kar do hameiN ki saans mile
nabz kuch der se thami si hai

waqt rehtha nahin kahin chupkar
iski aadat bhi aadmi si hai

koi rishtha nahin raha fir bhi
ek tasleem laazmi si hai




6. zindagi yoon huyi basar tanha
kaafila saath aur safar tanha

apne saaye se chaunk jaate haiN
umR guzri hai is kadar tanha

raat bar bolthe hain sannaaTe
raat kaaTe koi kidhar tanha

din guzartha nahin hai logon meiN
raat hothi nahin basar tanha

humne darwaaze tak tho dekha tha
fir na jaane gaye kidhar tanha




7. ek parvaaz dikhayee di hai
teri aawaz sunayee de rahi hai

jiski aankhon meiN kaTi thi sadiyaaN
usne sadiyoN ki judayee di hai

sirf ik safha palaT kar usne
beeti baaton ki safaayee di hai

fir wahiN lauTke jaana hoga
yaar ne kaisi rihayee di hai

aag ne kya kya jalayaa hai shavpar
kitni khushrang dikhayee di hai




8. din kuch aise guzaartha hai koi
jaise ahamsa utaartha hai koi

aayina dekhkar tasalli huyi
humko is ghar main jaantha hai koi

pak gaya hai shejar pe fal shaayad
fir se patthar uchaaltha hai koi

der se goonjthe hain sannaaTe
jaise humko pukaartha hai koi

No comments:

Post a Comment