1. dard se mera daaman bharde ya allah
phir chahe deewana karde ya allah
maine tuJh se chaand sitaare kab maange
roshan dil bedaar nazar de ya allah
suraj si ek cheez to hum sab dekh chuke
sachmuch ki ab koi saher de ya allah
ya dharti ke zakhmon par marham rakhde
ya mera dil patthar kar de ya allah
2. tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log
ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log
kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log
teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya
muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log
kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar
aur kya iske siwa denge tere shehar ke log
3. gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
ye nazraana tera bhi hai mera bhi
apne gam ko geet bana kar gaa lena
raag purana tera bhi hai mera bhi
tu muJhko aur maiN tuJhko samJhaaooN kya
dil deewana tera bhi hai mera bhi
shehar meiN galiYoN galiYoN jiska charcha hai
wo afsaana tera bhi hai mera bhi
maikhaane kee baat na kar waaiz muJhse
aana-jaana tera bhi hai mera bhi
4. kisko qaatil maiN kahooN kisko maseehaa samaJhooN
sab yahaaN dost hee baiThe haiN kise kyA samaJhooN
wo bhI kyA din the ke har vaham yakeeN hotA tha
ab haqeekat nazar aaye to use kyA samaJhooN
dil jo TooTaa to kaI haath duaa ko uTThe
aise mAhaul meiN ab kis'ko paraayaa samaJhooN
zulm ye hai ke hai yaqtaa terI begAnaaravee
lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apanA samaJhooN
5. dil meiN ab dard-e-mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN
zindagi meri ibaadat ke siva kuch bhi nahiN
maiN teri baargah-e-naaz mein kya pesh karoon
meri Jholi meiN mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN
aye khuda muJh se na le mere gunaahoN ka hisaab
mere paas ashq-e-nadamat ke siwa kuch bhi nahiN
woh to miT kar muJhe mil hi gayee rahat waRna
zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch bhi nahiN
6. har taraf har jagah beshumaar aadmee
phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmee
subah se shaam tak bojh Dhotaa hua
apanee hi laash ka khud mazaaR aadmee
har taraf bhaagate dauDate raaste
har taraf aadmee ka shikaar aadmee
roz jeetaa huA roz martaa hua
har naye din nayaa intezaar aadmee
zindagee kA muqaddar safar dar safar
aakhree saaNs tak beqaraar aadmee
7. aankh se door na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega
itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega
tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega
zindagi teri ata hai to yeh jaane wala
teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega8. meri tasveer meiN rang aur kisi ka to nahiN
Volume II
gher le muJhko sab aaNkheN maiN tamasha to nahiN
zindagi tuJhse se har ik saaNs pe samJhauta karooN
shauK jeene ka hai muJhko magar itna to nahiN
rooh ko dard mila dard ko aaNkheN na mili
tuJhko mehsoos kiya hai tuJhse dekha to nahiN
soNchte soNchte dil dooBne lagta hai mera
zehaN kee tay meiN 'muzaffar' koi dariya to nahiN
9. mausam ko ishaaroN se bula kyoon nahiN lete
rooThaa hai agar wo to manaa kyooN naheeN lete
deewaana tumhaaraa koI gair naheeN
machalaa bhI to seene se lagaa kyooN naheeN lete
khat likhkar kabhI aur kabhI khat ko jalaakar
tanhaaee ko raNgeen bana kyooN naheeN lete
tum jaag rahe ho muJhako achchhaa naheeN lagtaa
chupake se merI neeNd churaa kyooN naheeN lete
10. jo bhee bura bhala hai allah janta hai
bande ke dil meiN kya hai allah janta hai
yeh farsh-o-arsh kya hai allah janta hai
pardoN meiN kya chhupa hai allah janta hai
jaakar jahaan se koi wapas nahiN hai aata
woh kaunsi jagah hai allah janta hai
neki-badi ko apnee kitna hi tu chupaaye
allah ko sab pata hai allah janta hai
ye dhoop-chaoN dekho ye subah-shaam dekho
sab kyoon ye ho raha hai allah janta hai
kismat ke naam ko to sab jaante haiN lekin
kismat meiN kya likha hai allah janta hai
11. dhoop meiN niklO ghaTaaOn meiN naha kar dekho
zindagee kya hai kitaaboN ko haTaakar dekho
wo sitaaraa chamakane do yooNhee aaNkhoN meiN
kya zarooree hai us'e jism banaakar dekho
pattharoN meiN bhee zubaaN hotI hai dil hota hai
apane ghar ke dar-o-deewaar sajaakar dekho
faasilaa nazaroN kA dhokhaa bhee to ho saktaa hai
wo mile yA nA mile haath baDhaakar dekho
12. dhooaaN banake fizaaN meiN udaa diyaa muJhko
maiN jal raha tha kisi ne bhJha diya muJhko
khaDa hooN aaj bhi roTi ke chaar haRf liye
sawaal ye hai kitaaboN ne kya diya muJhko
safed sang kee chaadar lapeT kar muJhpar
faseene shehar se kisi ne saja diya muJhko
maiN ek zarra bulandi ko choone nikla thaa
hawa ne tham ke zameeN par gira diya muJhko
13. mili hawaoN meiN uDne ki wo saza yaaro
ke maiN zameen ke risHton se kat gaya yaaro
woh be-khayal musafir maiN raasta yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
mere kalam pe zamane kee gard aisee thee
ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
tamaam sheher hi jiskee talaash mein gum tha
maiN uske ghar ka pata kis'se poochta yaaro
14. tere jalwe ab muJhe harsoo nazar aane lage
kaash yeh bhi ho ke muJh meiN tu nazar aane lage
ibteda yeh thee ke dekhee thee khushi ki ek Jhalak
inteha yeh hai ke gham harsoo nazar aane lage
beqarari baDhte baDhte dil ki fitrat ban gayee
shayed ab taskeen ka pehloo nazar aane lage
khatM karde ae "Saba" ab shaam-e-gham ki daastaN
dekh un aankhoN meiN bhee ansoo nazar aane lage
Thursday, 8 September 2011
Sajda
Labels:
Jagjeet Singh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment