Wednesday, 7 September 2011

A Milestone

1.   milkar juda huye tho na soya karenge hum
ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum




2. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe

wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha
wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe

wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe

maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel'
gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe





3. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo
pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo

ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya
zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo

tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi
apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo




4. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko
main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko

muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko

khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman
kar diya tune agar mere hawaale muJhko

waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel'
shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko




5. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO




6. angDai par angDai leti hai raat judaaee kee
tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN
maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee

uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya
rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee




7. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN




8. tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate
junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate

tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki
tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate

chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni
warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate




9. pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye

kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye

ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas
ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye

shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye




10. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

hame to aaj ki shab poh faTe tak jaagna hoga
yahi kismat hamari hai sitaroN tum to so jaaO

hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
abhi kuchh bekarari hai sitaroN tum to so jaaO



Lyrics : Qateel Shifai
Music : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh
Chitra Singh

No comments:

Post a Comment