Thursday 8 September 2011

Visions I & II

Volume I

1.   Jhoom ke jab rindO ne pilaa dee
sheikh ne chupke chupke dua dee

ek kamee thee taj mahal meiN
humne teri tasveer laga dee

aapne jhooTa waada karke
aaj hamaRi umr baDha dee

teri galee meiN sazde karke
humne ibaadat-gaah bana dee





2. nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN
hum unko paas biThakar sharaab peete haiN

isi liye to andhera hai maikade meiN bahut
yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN

hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata
tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN

unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar
jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN




3. ye peene waale bahut hi ajeeb hote haiN
jahaN se door ye khud ke kareeb hote haiN

kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee
mohabbatoN ke safar bhi ajeeb hote haiN

mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se
diloN ke shaah to aksar gareeb hote haiN

yahaN ke logoN ki hai khaasiyat ye sabse baDi
habeeb lagte hain lekiN raqeeb hote haiN





4. kisne bheege huye baaloN se ye jHaTka paani
jhooM ke aayi ghaTa TooT ke barsa paani

koi matwaali ghaTa peeke jawaani ki umang
jee baha le gaya barsaat ka pehla paani

TikTiki baandhe wo firte haiN maiN is fidR meiN hooN
kahiN khaane lage chakkar na ye gehra paani

baat karne mein wo un aankhoN se amrit tapka
aarzoo dekhte hee mooh meiN bhar aaya paani





5. kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai
jin baatoN ko khud nahiN samjhe auroN ko samjhaaya hai

humse poochO izzatwaaloN kee izzat ka haal yahaN
humne bhi is shehar meiN rehkar thoDa naam kamaya hai

us'se bichchDe barsoN beete lekin aaj na jaane kyoon
aangan meiN haste bachchoN ko bekaaroN dhamkaaya hai

koi mila tho haath milaaya kahiN gaye to baate kee
ghar se baahar jab bhi nikle din bhar boJh uThaya hai




6. tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa
mast nazar ka waasta mast muJhe banaaye jaa

tuJhko kisi se marz kya bijli kahiN giraaye jaa
dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraaye jaa

saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab haTa ke dekh
khilman-e-dil hai muntazir barKe nazar giraaye jaa

wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo
hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa




7. na keh saaqi bahaar aane ke din haiN
zigar ke daaG chil jaane ke din haiN

ada see khooB adaa aane ke din haiN
abHi to door sharmaane ke din haiN

garebaaN DhoonDte hain haath mere
chaman meiN phool khil jaane ke din haiN

tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayeN
tumhare khelne khaane ke din haiN

ghaTaayeN oondi oondi keh rahi hai
maye angoor khichwaane ke din haiN




8. dard-e-dil meiN kamee na ho jaaye
dosthi dushmani na ho jaaye

tum meri dosthi ka dam na bharo
aasmaaN muddayee na ho jaaye

baiThata hoon hamesha rindoN meiN
kahiN zaahid wali na ho jaaye

apne khooye wafa se Darta hoon
aashiqi bandagi na ho jaaye




Volume II




9. kaun aaya raaste aa'ina khaana ho gaye
raat roshan ho gayee din bhi suhaane ho gaye

ye bhi mumkin hai ke us'ne muJhko pehchaana na ho
ab us'e dekhe huye kitne jamaane ho gaye

jaao un kamroN ke aa'ine uthakar phenK do
wae agar ye keh raheN ho hum puraane ho gaye

meri palkoN par ye aaNsoo pyaar ki tauheen hai
unki aaNkhoN se gire moti ke daane ho gaye




10. aap aaye janaab barsoN meiN
humne pee hai sharaaB barsoN meiN

phir se dil kee kali khilee apni
phir se dekha sabaaB barsoN meiN

tum kahaN the' kahaN rahe saahiB
aaj hoga hisaaB barsoN meiN

pehle naadaaN the' ab huye daaNa
unko aaya adaaB barsoN meiN

isi um'meed pe' maiN zinda hooN
kya wo denge jawaaB barsoN meiN





11. aapko dekhkar dekhta reh gaya
kya kahooN aur kehne ko kya reh gaya

unkee aaNkhoN meiN kaise chalakne laga
mere hoNThoN pe jo maajra reh gaya

aise bichDe sabhi raah ke moD par
aakhri hum-safar raasta reh gaya

soch kar aaO kuye tamanna hai ye
jaaneman jo yahaN reh gaya reh gaya





12. koi dosth hai na raqeeb hai
tera sehar kitnaa ajeeb hai

wo jo ishq thaa wo junoon thaa
ye jo hiZr hai ye naseeb hai

yahaN kiska chehra paDha karooN
yahaN kaun itnaa kareeb hai

maiN kise kahooN mere saath chal
yahan sab ke sar pe saleeb hai




13. fir se mausam baharoN ka aane ko hai
fir se rangiN zamana badal jaayega
abki bazme charaagoN saja lenge hum
ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

aap karde jo muJhko nigaahe karam
meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam
yuN fasana to mera rahega yahi
sirF unwaan uska badal jaayega

fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai
lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai
apnee nazroN se hee kuch pila de jiye
rang mehfil ka khud hee badal jaayega

mere miTne ka unkO zara gam nahiN
julF bhi unki ae dosth war ham nahiN
apne hone na hone se hotha hai kya
kaam duniya ka yun hee to chal jaayega

aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya
aapne uski duniya ko choDa to kya
aap itne to aakHir pareshaaN na hoN
wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega






14. kuchh na kuchh to zaroor hona hai
saamna aaj unsay hona hai

todo fainko rakho karo kuch bhi
dil hamara hai kya khilona hai

zindagi aur maut ka matlab
tumko paana hai tumko khona hai

ttna darna bhi kya hai duniya say
jo bhi hona hai woh to hona hai

uth kay mehfil say mat chalay jaana
tumsay roshan yeh kona kona hai






15. sar jhUkaaoge to patthar dewta ho jaayega
itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega

hum bhi dariya haiN hameN apnaa hunar maaloom hai
jis taraF bhi chal paDenge raasta ho jaayega

maiN khuda ka naam lekar pee raha hoon dostoN
zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega

ruTh jaana to mohabbat ki alamat hai magar
kya khabar thee muJhse wo itna khafa ho jaayega




16. har gosha gulistaN tha kal raat jahaN maiN tha
ek jasn-e-baharaN tha kal raat jahaN maiN tha

nagmeN the' hawaoN meiN jaadoo tha fizaaoN meiN
har saaNs ghazalfaaN tha kal raat jahan maiN tha

dariya-e-mohabbat meiN kasthi thee jawaani kee
jazbaat ka toofaaN tha kal raat jahan maiN tha

mahtaab tha baahoN meiN jalwe the nigaahoN meiN
har sint charaagaN tha kal raat jahan maiN tha

No comments:

Post a Comment