Thursday 8 September 2011

Unique

1.   muJhe gusaa dikhaaya jaa raha hai
tabassum ko dabaaya jaa raha hai

wahaN tak aabroo jaBt-e-gham hai
jahaN tak mushkuraaya jaa raha hai

do aalam maiNe chODe jiske khaatir
wahi daaman chuDaaya jaa raha hai

kareeb aane meiN hai ujko takalluF
wahiN se mushkuraaya jaa raha hai



2. kaun aayega yahan koi na aaya hoga
mera darwaaza hawaaoN ne hilaaya hoga

dil-e-naadaaN na dhaDak ae dil-e-naadaaN na dhaDak
koi khat leke paDosi ke ghar aaya hoga

gul se lipTi huyee titli ko girakar dekho
aandhiyoN tumne daraftoN ko giraaya hoga

'kaif' pardesh meiN math yaad karo apna makaaN
abke baarish ne use toD giraaya hoga



3. buJh gayee tapti huyee dil ki agaN
saanJh ne chup-chaap hi pee lee agaN
raat rijH aayee pehan ujla wasan
pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO
chaandni ke phool tum mushkuraaO

ek nili jHeel sa faila achal
aaj ye aakaash hai itna saJal
chaaNd jaise roop ka uBhraa kamal
raat bhar is roop ka jaadoo jagaaO
pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO

chal raha hai chait ka chanchal pawan
...............bikhri huyee undal sakhan
aaj ho kaJraa udaasi hai nayan
maaNg bhar lo baal par bindiyaa sajaaO
pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO



4. tera chehra kita suhaana lagta hai
tere aage chaand puraana lagta hai

tirche-tirche teer nazar ke lagte haiN
seedha-seedha dil pe nishaana lagta hai

aag ka kya pal-do-pal meiN lagti hai
buJhte buJhte ek zamaana lagta hai

sach to ye hai phool ka dil bhee chalni hai
haNste haNste ek bahaana lagta hai




5. maan mausam ka kaha chaayee ghaTa jaam uTha
aag se aag buJha phool khila jaam uTha

ae mere yaar tuJhe uski kasam deta hooN
bhool jaa shikwe gile haath mila jaam uTha

ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyoN jaisa
der kay karna yahaN haath baDha jaam uTha

pyaar hi pyaar hai sab log baraabar haiN yahaN
maikade meiN koi choTa na baDa jaam uTha



6. bas ek waQt ka khanJar meri talaash meiN hai
jo roJ bhesh badal ka meri talaash meiN hai

maiN ek katra hooN mera alag waJood to hai
hua kare jo samandar meri talaash meiN hai

maiN dewtaa ki tarah qaid apne mandir meiN
wo mere jisM ke baahar meri talaash meiN hai

maiN jiske haath meiN ek phool deke aaya tha
usi ke haath ka patthar meri talaash meiN hai



7. mere kareeb na aaO ke maiN sharaabi hooN
mera ..... jagaaO ke maiN sharaabi hooN

zamaaNe bhar ke nigaahoN se gir chuka hooN maiN
nazar se tum na giraaO ke maiN sharaabi hooN

ye aRz karta hooN gir kar khulush waaloN se
uTha sakO to uthaaO ke maiN sharaabi hooN

tumhari aaNkh se bhar looN suroor aaNkhoN meiN
nazar nazar se milaaO ke maiN sharaab hooN




8. aap se gila aap kee kasam
sochte rahe kar sake na hum

uski kyaa khata la dawa hai gham
kyooN gila kareN chaargar se hum

ye nawazisheN aur ye karam
farte shauK se mar na jaaye hum

khechte rahe umR bhar muJhe
ik tarah khuda ik taraf sanam

ye agar nahiN yaar ki gali
chalte chalte kyoon ruk gaye kadam

No comments:

Post a Comment