Thursday 8 September 2011

Mirage

1.  apni marzi se kahaN apni safar ke hum haiN
rukH hawaaON ka jidhar ka hai udhar ke hum haiN

pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar meiN kisi doosre ghar ke hum haiN

waqt ke saath miTTi ka safar sadiYoN se
kisko maaloom kahan ke haiN kidhar ke hum haiN

chalte rehte haiN ke chalnaa hai musaafir ka naseeb
sochte rehte haiN kis raah guzar ke hum haiN




2. rishta kya hai tera mera
maiN hooN shab aur tu hai sawera

tu hai chaand sitoroN jaisa
meri kismat ghoR andhera

phooloN jaise raaheN teri
kaaToN jaisa mera Dera

aata jaata hai ye jeewan
pal-do-pal ka raiN basera




3. dushman ko bhee seene se lagana nahiN bhoole
hum apne buzurgoN ka zamana nahiN bhoole

tum aaNkhoN ki barsaat bachaaye huye rakhna
kuch log abhi aag lagaana nahiN bhoole

ye baat alag haath qalam ho gaye apne
hum aapki tasveer bananaa nahiN bhoole

ik umR huyee maiN to hansi bhool chuka hooN
tum ab bhee mere dil to dukhaana nahiN bhoole




4. koi chaudhweeN raat ka chaaNd bankar
tumhaare tasavvuR meiN aaya to hoga
kisi se to kee hogi tumne mohabbat
kisi ko gale se lagaya to hoga

tumhaare khayaloN ke angDaaiyoN meiN
meri yaad ke phool mehKe to honge
kabhi apne aanKhoN ke kaajal se tumne
mera naam likhkar miTaaya to hoga

laboN se mohabbat ka jaadoo jagake
bhari bazm meiN sabse nazareN bachaake
nigaahoN ki raahoN se dil meiN samaake
kisi ne tumHe bhee churaaya to hoga

kabhi aaeeNe se nigaaheN milakar
jo lee hogi bharpoor angDaaiyoN toone
to ghabraake khud teri angDaaiyoN ne
tere husN ko gud-gudaaya to hoga




5. ik baramhahN ne kaha hai ke ye saal achhaa hai

zulm ki raat ab jaldi Dhalegi abto
aag choolhoN meiN har ek roz jalegi abto
bhookh ke maare koi bachha nahiN royega
chaiN ki neeNd har ik shaksh yahaN soyega
aandhi nafrat ki chalegi na kahiN ab ke baras
pyaar ki faSl ugaayegi zamiN ab ke baras
hai yakiN ab na koi shor-sharaaba hoga
zulm hoga na kahiN khoon-kharaaba hoga
Os or dhooP ke sadme na sahega koi
ab mere desh meiN be-ghar na rahega koi
naye waadoN ka jo Daala hai wo jaal achha hai
rehnumaaoN ne kaha hai ke ye saal achha hai

dil ke khoosh rakhne meiN 'Ghaalib' ye khayal achha hai




6. maiN na hindoo na musalmaan muJhe jeene do
dosti hai mera imaaN muJhe jeene do

koi ehsaaN na karo muJhpe to ehsaaN hoga
siRf itna karo ehsaaN muJhe jeene do

sabke dookh-dard ko apna samaJh ka jeena
bas yahi hai mera armaaN muJhe jeene do

log hote haiN jo hairaaN mere jeene se
log hote rahe jairaaN muJhe jeene do




7. zindagi say badi saza hi nahin
aur kya jurm hai pata hi nahin

itne hissoN meiN bat gaya hoon maiN
meray hisay meiN kuch bacha hi nahin

sach ghatay ya badey to sach na rahey
jhooth ki koi intehaa hi nahin

jad do chaandi meiN chahey sonay meiN
aaiana jhooth bolta hi nahin





8. mai rahe meena rahe gardhish meiN paimaana rahe
mere saaqi tu rahe aabaad maikhaana rahe

harsh hee to ho chuka rukh se nahiN haTthi naqaab
hadh bhee aakhir kuch hai kab tak koi deewaana rahe

raat ko jo baiThte haiN roz hum majnu ke paas
pehle an-ban reh chuki hai ab to yaaraana rahe

zindagi ka luTf ho uDati rahe hardam 'riyaz'
hum hoN seeshe ke pari ho ghar parikhaana rahe

No comments:

Post a Comment