Thursday 8 September 2011

Saher

1.   tere baare meiN jab socha nahiN thaa
maiN tanha tha magar itna nahiN thaa

teri tasveer se karta thaa baateN
mere kamer meiN aayina nahiN thaa

samandar ne muJhe pyaasa hi rakha
maiN jab sahra meiN thaa pyaasa nahiN thaa

manaane ruThne ke khel meiN hum
bichaD jaayenge ye socha nahiN thaa

suna hai band kar li aaNkheN usne
kai raatoN se wo soya nahiN thaa





2. muJhse bichaD ke khush rehte ho
meri tarah tum bhi jhooTe ho

ik tahni par chaaNd Tika thaa
maiN ye samJha tum baithe ho

uJle uJle phool khile the
bilkul jaise tum haNste ho

muJhe shaam bata deti hai
tum kaise kapDe pehne ho

tumh tanha duniya se laDoge
bachhON si baateN karte ho




3. tumne dil ki baat kehdi aaj ye achha hua
hum tumhe apna samajhte the, bada dhoKha hua

jab bhi humne kuch kaha uska asar ulTa hua
aap shaayad bhoolte haiN, baaraha aisa hua

aapki aaNkhoN meiN aaNsoo kahan se aa gaye
hum to deewaane haiN lekin aapko ye kya hua

ab kisi se kya kaheN 'Iqbaal' apni daastaaN
bas khuda ka shuKr hai jo bhi hua achha hua




4. kitni pi kaise kati raat muJhe hosH nahiN
raat ke saath gayi baat muJhe hosH nahiN

muJhko ye bhi nahin malooom ki jana hai kahan
thaam le koi mera haath muJhe hosh nahin

aaNsooN aur sharaaB mein guzar hai ab to
maine kab dekhi thi barsaat muJhe hosN nahiN

jaane kyaa tooTa hai paimaana ki dil hai mera
bikhre bikhre haiN khayalaat muJhe hosH nahiN




5. ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai
kahiN ik haseen sa khwaab hai kahin jaan lewa ajaab hai

kahin chaaOn hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai
kai chechre isme chupe huye, ik ajeeb si ye naqaab hai

kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya
kahin cheen leti hai har khushi kahin meharbaaN behisaab hai


kahin aaNsoOn iki hai daastaaN kahin muskurahaToN ka bayaaN
kahin kbarkatoN ki hai baarisheN kahin tishnagi behisaab hai




6. yaad nahin kya kya dekha tha saare maNzar bhool gaye
uski galiyaaN se jab lauTe apna bhi ghar bhool gaye

khoob gaye pardesh ki apni deewaar-o-dar bhool gaye
seesh-mahel ne aisa ghera miTTi ka ghar bhool gaye

tuJhko bhi jab apni kasmeiN apne waayede yaad nahiN
hum bhi apne khwaab teri aankhoN meiN rakhkar bhool gaye

muJhko jinhone kaTl kiya hai koi unhe batlaaye 'nazir'
meri laash ke pehloo meiN wo apna khanzar bhool gaye




7. charaag-e-ishq jalaane ki raat aayi hai
kisi ko apna banaane ki raat aayi hai

falaK ka chaaNd bhi sharmaake mooNh chupaayega
naqaab ruKh se uThaane ki raat aayi hai

nigaahe saaqi se paiham chalaK rahi hai sharaab
piyO ke peene pilaane ki raat aayi hai

wo aaj aaye haiN mehfil meiN chaandni lekar
ke roshni meiN nahaane ki raat aayi hai





8. tere aane ki jab khabar mehke
teri khushboo se saara ghar mehke

shaam mehke tere tasavvur se
shaam ke baad fir saHer mehke

raat bhar sochta raha tuJhko
zehno-dil mere raat bhar mehke

yaad aaye to dil munnawar ho
deed ho jaaye to nazar mehke

wo ghaDi do ghaDi jahaan baithe
wo zamiN mehke wo saher mehke

No comments:

Post a Comment