Thursday 8 September 2011

Silsilay

1.   maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'
bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN
wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin
wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN
muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye
tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN




2. mere dil ne kaha, ae diwaane bata
jab se koi mila, tu hai khoya huwa,
ye kahani hai kya, hai ye kyaa silsila, ae diwaane bata

maine dil se kaha, ae diwaane bata
dhaDkane meiN chupi, kaisi awaz hai
kaisa ye geet hai kaisa ye saaz hai,
kaisi ye baat hai, kaisa ye raaza hai, ae diwaane bata

mere dil ne kaha , jab se koi mila
chaand taare fizaaN, phool bhaNwaare hawa
ye haNsi waadiyaaN, neela ye aasmaaN
sab hai jaise naya, mere dil ne kaha
maine dil se kaha, muJhko ye to bata,
jo hai tuJhko mila, usme kyaa baat hai
kya hai jaadoogari, kaun hai wo pari, ae diwaane bata

na wo koi pari, na koi mehJabiN
na wo duniya meiN sabse hai zyaada haseeN,
bholibhaali si hai, seedhi saadhi si hai,
lekin usme adaa ek niraali si hai
uske bin mera jeena hi bekaar hai,
maine dil se kaha, baat itni si hai,
ki tuJhe pyuaar hai mere dil ne kaha muJhko ikraar hai,
haaN muJhe pyaar hai.




3. jaate jaate wo muJhe achchhi nishaani de gaya
uMr bhar dohraoonga aisi kahaani de gaya

uss se maiN kuch paa sakooN aisi kahan ummeed thi
gham bhi shaayad wo baraaye meharbaani de gaya

sab hawaaeN le gaya mere samander ki koi
aur muJhko ek kashti baadbaani de gaya

khaiR maiN pyaasa raha, par usne itna to kiya
mere palkoN ki kataroN ko wo paani de gaya




4. dard apnaata hai paraaye kaun
kaun sunta hai aur sunaaye kaun

kaun dohraaye puraani bateN
gham abhi soya hai jagaaye kaun

wo jo apne haiN, kya wo apne haiN
aur dukh Jhele, aazmaaYeN kaun

ab sukooN hai to bhoolne meiN hai
lekin us shaksh ko bhulaaye kaun

aaj fir dil hai kuch udaas-udaas
dekhiye aaj yaad aaye kaun






5. muJhko yakeeN hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi
jab mere bachpan ke dine the, chaand meiN pariyaan rehti thee

ek ye din jab apnoN ne bhi humse jnaata toD liya
ek wo din jab ped ki shaakheN boJh hamara sehti thee

ek ye din jab saari saDkeN ruThi ruThi lagti haiN
ek wo din jab aaO khele saari galiyaN kehti thee

ek ye din jab jaagi raateN diwaaroN ko takti hain
ek wo din jab shaamoN ko bhi palkeN boJhal rehti thee

ek ye din jab laakhoN gham aur kaal pada hai aaNsoon ka
ek wo din jab ek zara sa baat pe nadiyaaN behti thee





6. sach ye hai bekaar meiN gham hota hai
jo chaaha tha duniya meiN kam hota hai

Dhalta suraj faila jangal rasta gum
humse puchO kaisa aalam hota hai

gairOn ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hota hai koi hamdum hota hai

zakhm to humne in aankhoN se dekheN haiN
logoN se sunte haiN marham hota hai

zehan ki shaakhoN par ashaar aa jaateN haiN
jab teri yaadOn ka mausam hota hai






7. dard ke phool bhi bikhar jaate haiN
zakhma kaise bhi ho bhar jaate haiN

jab dareeche meiN bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhukaaye huye chupchaap guzar jaateN hain

raasta roke khaDi hai yahi ulJhan kabse
koi pooche to keheN kya ki kidhar jaate haiN

naram awaaz, bhali baateN muhazzaB lehze
pehli barish meiN hi ye rang utar jaate haiN




8. dariya ka saahil ho, poore chaand ki raat ho
aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

pariyoN ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

ye naram mulaayam thanDi hawaayeN, jab ghar se tumhaare guzre
tumhari khushboo churaayeN, mere ghar le aayen, kabhi yooN bhi to ho

sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

ye baadal aise TooT ke barse, mere dil ki tarah milne ko,
tumhara dil bhi tarse, tum niklo ghar se, kabhi yooN bhi to ho

tanhaai ho dil do, boonde hoN barsaat ho aur tum aaO.

No comments:

Post a Comment