Barish me uthti khushbu mitti ki,
jo yaad dilati h us chitthi ki,
Jisme likha tha naam mera..
jisme tha ye paigam tera..
ful jab baago me khilte h, jab do dil aise milte h..
jab raate lambi hoti h, jab nind uninindi hoti h..
mujhe yaad tumhari aati or mera dil dhatkati h..
me pyar tumhi se krti hu.. or tum par hi to marti hu..
tum mere priyavar ho..
tum hi mere ishwar ho..
fir aayi barsat wo pyari si..
hum tum the or fulwari thi..
dono hi jam kr bhige the, or sapne bade sjile the..
fir aaj hui h barish yaha, fir kaali ghataye chai h..
fir se garje h baadal ab, or bunde yu barsai h..
iss tanhai k mele me, kahi bhid me kahi akele me..
mujhe yaad tumhari aati h, or mera dil dhatkati h,
ab tanha h hum, ab koi nahi, jo baat hamri sunta ho..
ab chalte h akele barish me jaise koi kanta chubhta ho,
aasu aate h aankho me, par dekh nahi koi pata h..
hum haste rahte h har dum, jaise gum se na nata h..
tum yaad bahut aati ho priye, ye dil to pal pal rota h..
par milna hoga hame ye paigam har aasu me hi hota h..
(It's not the END.... It's the BIGINING)
No comments:
Post a Comment