Udhta Firtaa Madmast Sare Jahan Mei Main
Geet Gaataa Huwa Us Neele Aasmaan Mei Main
Fikra Hoti Naa Mujhe Duniyaa Kii Nazron Kii Koii
Jeeta Yun Apne Chhote Se Aashiyaan Mei Main
Faasle Miilon Ke Naa Koii Bhi Maayne Rakhte
Ghar Har Shehar Ko Batata Is Jahaan Me Main
Diidaar-E-Yaar Se Hi Sajtaa Yeh Tasavvur Mera
Shab-E-Vasl* Hi Dohraata Apne Bayaan Me Main
Soch Soch Ke Naa Khulte Ye Lab Muskurane Ko
Zindagi Khushi Se Bitataa Har Samaan Mei Main
Dhoondhe Se Naa Dikhtii Koii Maathe Pe Shikan
Laataa Na Be-Adabi Kabhi Apni Zubaan Me Main
Kaash Hota Main Azaad Chhotaa Saa Ekk Panchhii
Udh Udh Mita Deta Faasle Darimiyaan Mei Main

No comments:
Post a Comment