Sunday, 8 May 2011

Aankho me arman diya karate hai,
Ham sabki Neend Chura liya karate hai,
Ab jab jab aapki palke Zukengi,
Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai.
kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote..
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai,
Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Tapan suraj se hoti hai,
Tapana Zameen ko padta hai,
Mohabbat Ankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai.
Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!
Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
To kia shikayat apnon aur bayganon se,
Hum mit gaye jin ki chahat main,
Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se.
Lamha Lamha ye waqt gujar jayega
Bas khuch hi ganto baad naya saal ajayega
Isliye Abhi se naye saal ki badhai lelo
Warna Bazi koi aur mar jayega.
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala diya.
Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..

No comments:

Post a Comment