Saturday 29 October 2011

Mujhy uljhaya mat karo

Intazar mein mujhy tarpaya mat karo
Dil ki bat mujh sy chhupaya mat karo


Milo mujhy to apni batin chhera karo
Kisi or ki bat mujhy sunaya mat karo


Tumhary bin bhool jata hon khud ko
Door j a k mujh sy s ataya mat karo


Tu muskaraye jaisy jannat nazar aye
Ansoo baha kar mujhy rulaya mat karo


ALI ki koi bat to khud samjho bhi
Puchh kar sawal mujhy uljhaya mat karo 

No comments:

Post a Comment