Thursday 23 June 2011

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai.....

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai..!

Mai kaise meethi baat kru..?
jab meethi chij koi khai nai,
Ye chaand kaise maamu hua..?
jab mummy ka wo bhai nai,
Kyu lambe baal h bhalu k..?
kyo uski triming karai nai,
kya wo bhi ganda baccha h..?
ya jungal me koi naai nai,
Naani k pati jab nana h, daadi ka pati jab dada h,
didi k pati kyo dida nai..?

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai..!

Samundar ka rang kyo neela h..?
jab neel kisine milai nai,
Jab school me nind itni aati h,
kyo bed waha rakhwai nai..?
Jab shaadi k baad shudhrte h,
to pahle kyo karwai nai..?

Ye baat samajh me aai nai, or mummy ne samjhai nai.....

No comments:

Post a Comment