Wednesday 18 May 2011


Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi
Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi
Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi
The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi
Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi

No comments:

Post a Comment