Monday, 28 February 2011

Jab pyaar ki baat adhoori ho..!!

Jab pyaar ki baat adhoori ho..
jab beech me thori doori ho..
jab milna bohut zaroori ho…
per milne mein majboori ho..
tum dil me yaad jaga lena..
kuch pyaar ke deep jala lena..
jab mujh se milne aa na sako..
aur yaad se bahar jaa na sako…

Ghamon ne bant lia yun mujhy


Khuli jo Aankh tou woh tha,
Na woh zamana tha,
Dehakti Aag thi,
Tanhai thi,
Fasana tha.
Ghamon ne ßant lia yun mujhy Aapas me,
K jaise main koi Loota hua khazana tha.
Yeh kia k chnd hi Qadmun pe thak k ßaith gaye?
Tumhen tou sath mera door tk nibhana tha.
Mujhy jo mere laho me dubo k Guzra hy,
Woh koi gair nhe,
Yaar ek purana tha.
Khud apne hath se shehzad usko kaat dia,
K jis darkhat ki Thehni pe Aashyana tha..

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~


Agar Be-gharz Ho Jazba
Agar Manzil baney Rasta
Agar Chahat k Pardey Main
Koi Lalach Na Ho Lipta
Agar Tum Sonp Do Sab Kuch
Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi
Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hy
Kabhi Dukh Nahi Deti
~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~
HaPpY vAleNtInE’s DaY … (:

Asha....!!!


छुट रही हे रेट हाथ से, आशा हे पर डूबती किरण से,
ला सकते हे तारे गगन से, मुश्किल नहीं हे यह भी तुमसे,
जीवन में कुछ भी नहीं असंभव,  करो मेहनत पूरी लगन से,
विजयी होना हे अगर तुमको, करो संघर्ष बचो न श्रम से,
रुके रहे तुम अगर अभी से, पीछे रह जाओगे सबसे,
बहुत तेज वह नहीं चल रहा, मिल सकते हो अब भी उससे......

Thursday, 24 February 2011

Gajal

1.   milkar juda huye tho na soya karenge hum
ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum




2. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe

wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha
wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe

wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe

maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel'
gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe





3. dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo
pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo

ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya
zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo

tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi
apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo




4. apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko
main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko

muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko

khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman
kar diya tune agar mere hawaale muJhko

waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel'
shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko




5. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO




6. angDai par angDai leti hai raat judaaee kee
tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN
maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee

uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya
rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee




7. sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN




8. tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate
junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate

tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki
tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate

chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni
warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate




9. pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye

kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye

ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas
ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye

shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye




10. pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

hame to aaj ki shab poh faTe tak jaagna hoga
yahi kismat hamari hai sitaroN tum to so jaaO

hame bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
abhi kuchh bekarari hai sitaroN tum to so jaaO

मुझको..!!

अपने हाथों की लकीरों में बसा ले मुझको
मैं हूँ तेरा तो नसीब अपना बना ले मुझको।
मुझसे तू पूछने आया है वफ़ा के माने
ये तेरी सादा-दिली मार ना डाले मुझको।
ख़ुद को मैं बाँट ना डालूँ कहीं दामन-दामन
कर दिया तूने अगर मेरे हवाले मुझको।
बादाह फिर बादाह है मैं ज़हर भी पी जाऊँ ‘क़तील’
शर्त ये है कोई बाहों में सम्भाले मुझको।

kya khabar hai ..??

Wo milegi ya nahi abhi iski kya khabar hai
mere har ek dard se abhi to wo bekhabar hai
duniya ke gulshan me gul ki tarah kahi na kahi mehak rahi hogi
ye dil e bekarar uski ek jhalak ke liye besabar hai
uske bina ye mera man har ek khusi se beasar hai
tanha dil hai virana jigar hai ghayal si meri nazar hai
bas kalpnao ke sunhare aagosh me jiye ja rha hu
ye gul meri kismat me mehakega ki nahi meri kismat to abhi befikar hai
wo milegi ya nhi abhi iski kya khabar hai

Dard...

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sochta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De…
`
Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.
`
Ek pal mein jo aa kar gujar jaaye
yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kehti hai duniya jise,
ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi..
`
Asmaan bhi baras raha hai,
Mere Ashko se takra raha hai,
Kisme hai jor jyada shayad yeh dekh raha hai,
Barsaat to phir bhi ruk jayegi,
Mere Ashko ka koi anth nahi,
Dil me hai dard itne jiska koi hisaab nahi…
`
Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye poochne ke liye aaya hu mein,
Ke kyun har raat tanhai mein mera dil rota hai…

Some Urdu...

Yeh unki saaye ki thandak hai ya falak se aya zhaalah,
Yeh unki nafs ka naaz hai ki shabnam ka ek katra.
Yeh hamari beech sadiyo ki doori hai ya ek kadam ka faaslah,
Yeh tumhe pane ka muqarrar hai ya koh dene ka khatrah….

Mera bus chale to teri yaden kharid loon
Apne jeene k waste teri baten kharid loon
Kar saken jo har waqt deedar tera
Sub kuch luta kr me bas..  wo 2 ankhen kharid loon..!!!

Ehsas..!!

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Dar hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Dar hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin....!!

Tei surat..!!

Tei surat nigahon me phirti rahe,ishq tera sataye to mai kya karun,
koi itna to aa kar bata de mujhe,jab teri yaad aaye to mai kya karun.
maine khak-e-nasheman ko bose diye,aur keh kar ye dil ko samjha liya,
aashiyaan banana era kaam tha,koi bijli giraye to mai kya karun.
maine mangi thi ye masjidon me duaa,mai jise chahta hun wo mujh ko mile,
jo mera farz tha wo maine pura kiya,ab KHUDA hi na chahe to mai kya karun.
na lage jaam pe haath ye shart hai,jaaye jo maikade ko wo kamzarf hai,
mujh ko tohmat na do,mai sharabi nahi,wo nazar se pilaye to mai kya karun.
Ishq,Imaan donon me tafreeq hai,aur donon pe mera Imaan hai,
jo KHUDA ruth jaye to sajde karun,aur SANAM ruth jaye to mai kya karun?

Jaan kar bhi...!!

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye…
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain …
milna itifaak tha bicharna naseeb tha
wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha
hum usko dekhne k liye taraste he rahe
jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujh se milna kabhi
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummed ban’na kabhi
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dha’rkna kabhi
Kisi Shayar Ne Kaha Zindagi Ek Lamba Safar Hai,
Kisi Aashiq Ne Kaha Zindagi Ek Mushkil Paheli Hai,
Arre Dosto Zindagi Ka Arth Toh Sirf Voh Bata Sakta Hai,
Jiski Shaadi Ke Baad Bhi Koi Saheli Hai!!!